guDiya ki shadi
guḌiyā hamārī javān hai
ab us kī shādī kā dhyān hai
achchhā sā guDDā dikhāo jī
rishta koī achchhā laao jī
guḌiyā hai aThārah saal kī
mālik hai husn-o-jamāl kī
ta.alīm bhī us ne paa.ī hai
aur mehnatī intihā.ī hai
guDDā ho ikkīs saal kā
ḳhush-ḳhulq achchhe ḳhayāl kā
gorā ho yā sāñvlā ho vo
kyā dekhnā us ke rañg ko
kartā na ho vo nasha koī
kartā ho dhanda yā naukrī
paañv pe apne khaḌā ho vo
achchhā sambhāle jo biivī ko
ho fikr us ko samāj kī
aur apne bhī kaam kaaj kī
lālach kabhī na ho jahez kī
aisā koī guDDā laao jī
guḌiyā kā haq jo adā kare
apne barābar kā darja de
har baat agar tum ne maan lī
Thahrā lo tārīḳh aqd kī
guDiya hamari jawan hai
ab us ki shadi ka dhyan hai
achchha sa guDDa dikhao ji
rishta koi achchha lao ji
guDiya hai aThaarah sal ki
malik hai husn-o-jamal ki
talim bhi us ne pai hai
aur mehnati intihai hai
guDDa ho ikkis sal ka
KHush-KHulq achchhe KHayal ka
gora ho ya sanwla ho wo
kya dekhna us ke rang ko
karta na ho wo nasha koi
karta ho dhanda ya naukri
panw pe apne khaDa ho wo
achchha sambhaale jo biwi ko
ho fikr us ko samaj ki
aur apne bhi kaam kaj ki
lalach kabhi na ho jahez ki
aisa koi guDDa lao ji
guDiya ka haq jo ada kare
apne barabar ka darja de
har baat agar tum ne man li
Thahra lo tariKH aqd ki
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 131)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.