aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guftugu nazm nahin hoti hai

Arifa Shahzad

guftugu nazm nahin hoti hai

Arifa Shahzad

MORE BYArifa Shahzad

    guftugū ke haath nahīñ hote

    magar TaToltī rahtī hai dar-o-dīvār

    phaaḌ detī hai chhat

    shaq kar detī hai sūraj siina

    uñDel detī hai hiddat-añgez laavā

    ḳhākistar ho jaatā hai havā jism

    guftugū pahlū badaltī hai

    aur zamīn āsmān jagah le letī hai

    raaj hañs dāstānoñ meñ sar chhupā lete haiñ

    ūñTniyāñ duudh denā band kar detī haiñ

    aur thūthniyāñ āsmān taraf uThā.e sahrā ko bad-duā.eñ dene lagtī haiñ

    haijānī niiñd palkeñ ukheḌne lagtī hai

    aur kachchī nazmeñ sar uThāne lagtī haiñ

    guftugū ke paañv nahīñ hote

    luḌhaktī phirtī hai

    maarī jaatī hai sāñsoñ bhagdaḌ meñ

    kafnā jaatī hai

    logoñ ke libās khīñch kar

    kāfūr tez

    lipaT jaatī haiñ siine ke pinjar se

    aur nazm adhūrī rah jaatī hai

    guftugu ke hath nahin hote

    magar TaTolti rahti hai dar-o-diwar

    phaD deti hai chhat

    shaq kar deti hai suraj ka sina

    unDel deti hai hiddat-angez lawa

    KHakistar ho jata hai hawa ka jism

    guftugu pahlu badalti hai

    aur zamin aasman ki jagah le leti hai

    raj hans dastanon mein sar chhupa lete hain

    unTniyan dudh dena band kar deti hain

    aur thuthniyan aasman ki taraf uThae sahra ko bad-duaen dene lagti hain

    haijaani nind palken ukheDne lagti hai

    aur kachchi nazmen sar uThane lagti hain

    guftugu ke panw nahin hote

    luDhakti phirti hai

    mari jati hai sanson ki bhagdaD mein

    kafna di jati hai

    logon ke libas khinch kar

    kafur ki tez bu

    lipaT jati hain sine ke pinjar se

    aur nazm adhuri rah jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now