Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghulam gardish

Faisal Azeem

ghulam gardish

Faisal Azeem

MORE BYFaisal Azeem

    ḳhushī

    adam ke kisī jharoke

    oT se jhāñktī nazar fareb koī

    tavīl be-rahm rāstoñ par sarāb koī

    tamām shab jugnuoñ ko chunñe ḳhvāb koī

    ḳhushī

    vo rah rah ke chand lamhoñ ko saañs letā habāb koī

    udaas tāroñ ko chheḌtī uñgliyoñ ke zaḳhmoñ

    se uThte sar ke ḳhayāl meñ gum rabāb koī

    ḳhushī

    ki mīzān ke jazīroñ se duur ik be-nishān sāhil

    zamāne bhar ḳhalīj haa.il

    ubhartī maujoñ meñ

    ġharq hone dāstānoñ jhilmilāhaT

    jo chhūnā chāho

    to dastaras meñ

    koī jazīra na koī sāhil

    ye ḳhaak aur aab tavāzun

    ye band muTThī se zarra zarra phisaltī miTTī

    nazar meñ collage ik mujarrad

    idhar gumāñ muñDer par kuchh nishān

    anqā ke baiThne fareb jaise

    us kināre tarāzū thāme

    mujassame safed āñkhoñ pe ma.anaviyyat kaalī paTTī

    vahī siyāhī

    añdhere hai jo pesh-ḳhema

    vo sang āñkheñ

    ki jin meñ putlī kabhī nahīñ thī

    vo jin tah meñ

    kisī kiran guzar nahīñ hai

    ḳhushī hai kyā munsifī hai kyā

    kuchh ḳhabar nahīñ hai

    KHushi

    adam ke kisi jharoke

    ki oT se jhankti nazar ka fareb koi

    tawil be-rahm raston par sarab koi

    tamam shab jugnuon ko chunne ka KHwab koi

    KHushi

    wo rah rah ke chand lamhon ko sans leta habab koi

    udas taron ko chheDti ungliyon ke zaKHmon

    se uThte sar ke KHayal mein gum rabab koi

    KHushi

    ki mizan ke jaziron se dur ek be-nishan sahil

    zamane bhar ki KHalij hail

    ubharti maujon mein

    gharq hone ki dastanon ki jhilmilahaT

    jo chhuna chaho

    to dastaras mein

    koi jazira na koi sahil

    ye KHak aur aab ka tawazun

    ye band muTThi se zarra zarra phisalti miTTi

    nazar mein collage ek mujarrad

    idhar guman ki munDer par kuchh nishan

    anqa ke baiThne ka fareb jaise

    tu us kinare taraazu thame

    mujassame ki safed aankhon pe manawiyyat ki kali paTTi

    wahi siyahi

    andhere ka hai jo pesh-KHema

    wo sang aankhen

    ki jin mein putli kabhi nahin thi

    wo jin ki tah mein

    kisi kiran ka guzar nahin hai

    KHushi hai kya munsifi hai kya

    kuchh KHabar nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now