gum-shuda dhaDkanen
ek muddat huī
dil ye mahrūm hai
ik udāsī liye
ruuh pyāsī liye
ḳhud-shanāsī liye
itnī hairat-zada
har ḳhushī se pare
khurdure ḳhvāb haiñ
aur tā'bīr se
har ghaḌī ham Dare
phir bhī dil be-ḳhudī
ko sameTe hue
raqs karne lagā
ek dard-e-nihāñ
bekalī sar se pā
saañs chal to rahī
hai yaqīnan magar
thoḌī āhistagī
us pe taarī hai aur
aaj be-rang hai
saarā rang-e-fazā
ik talātum uThā
habs hai zehn par
aur dil par 'ajab
bas yahī kāvisheñ
roz-o-shab hai mirī
kaash mil jaa.eñ phir
gum-shuda dhaḌkaneñ
ek muddat hui
dil ye mahrum hai
ek udasi liye
ruh pyasi liye
KHud-shanasi liye
itni hairat-zada
har KHushi se pare
khurdure KHwab hain
aur ta'bir se
har ghaDi hum Dare
phir bhi dil be-KHudi
ko sameTe hue
raqs karne laga
ek dard-e-nihan
bekali sar se pa
sans chal to rahi
hai yaqinan magar
thoDi aahistagi
us pe tari hai aur
aaj be-rang hai
sara rang-e-faza
ek talatum uTha
habs hai zehn par
aur dil par 'ajab
bas yahi kawishen
roz-o-shab hai meri
kash mil jaen phir
gum-shuda dhaDkanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.