Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gunah aur mohabbat

Noon Meem Rashid

gunah aur mohabbat

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    gunāh ke tund-o-tez sho.aloñ se ruuh merī bhaḌak rahī thī

    havas sunsān vādiyoñ meñ mirī javānī bhaTak rahī thī

    mirī javānī ke din guzarte the vahshat-ālūd ishratoñ meñ

    mirī javānī ke mai-kadoñ meñ gunāh mai chhalak rahī thī

    mire harīm-e-gunāh meñ ishq devtā guzar nahīñ thā

    mire fareb-e-vafā ke sahrā meñ hūr-e-ismat bhaTak rahī thī

    mujhe ḳhas-e-nā-tavāñ ke mānind zauq-e-isyāñ bahā rahā thā

    gunāh mauj-e-fitna-sāmāñ uThā uThā kar paTak rahī thī

    shabāb ke avvalīñ dinoñ meñ tabāh o afsurda ho chuke the

    mire gulistāñ ke phuul jin se fazā-e-tiflī mahak rahī thī

    ġharaz javānī meñ ahrman ke tarab sāmān ban gayā maiñ

    gunah ālā.ishoñ meñ luthḌā huā ik insān ban gayā maiñ

    mohabbat

    aur ab ki terī mohabbat-e-sarmadī bāda-gusār huuñ maiñ

    havas-parastī lazzat-e-be-sabāt se sharmsār huuñ maiñ

    mirī bahīmāna ḳhvāhishoñ ne farār raah hai dil se

    aur un ke badle ik ārzu-e-salīm se ham-kanār huuñ maiñ

    dalīl-e-rāh-e-vafā banī haiñ ziya-e-ulfat paak kirneñ

    phir apne firdaus-e-gum-shuda talāsh meñ rah-sipār huuñ maiñ

    huā huuñ bedār kaañp kar ik muhīb ḳhvāboñ ke silsile se

    aur ab numūd-e-sahar ḳhātir sitam-kash-e-intizār huuñ maiñ

    bahār-e-taqdīs-e-jāvedāñ mujhe phir ik baar aarzū hai

    phir ek pākīza zindagī ke liye bahut be-qarār huuñ maiñ

    mujhe mohabbat ne ma.asiyat ke jahannamoñ se bachā liyā hai

    mujhe javānī tīra-o-tār pastiyoñ se uThā liyā hai

    gunah ke tund-o-tez shoalon se ruh meri bhaDak rahi thi

    hawas ki sunsan wadiyon mein meri jawani bhaTak rahi thi

    meri jawani ke din guzarte the wahshat-alud ishraton mein

    meri jawani ke mai-kadon mein gunah ki mai chhalak rahi thi

    mere harim-e-gunah mein ishq dewta ka guzar nahin tha

    mere fareb-e-wafa ke sahra mein hur-e-ismat bhaTak rahi thi

    mujhe KHas-e-na-tawan ke manind zauq-e-isyan baha raha tha

    gunah ki mauj-e-fitna-saman uTha uTha kar paTak rahi thi

    shabab ke awwalin dinon mein tabah o afsurda ho chuke the

    mere gulistan ke phul jin se faza-e-tifli mahak rahi thi

    gharaz jawani mein ahrman ke tarab ka saman ban gaya main

    gunah ki aalaishon mein luthDa hua ek insan ban gaya main

    mohabbat

    aur ab ki teri mohabbat-e-sarmadi ka baada-gusar hun main

    hawas-parasti ki lazzat-e-be-sabaat se sharmsar hun main

    meri bahimana KHwahishon ne farar ki rah li hai dil se

    aur un ke badle ek aarzu-e-salim se ham-kanar hun main

    dalil-e-rah-e-wafa bani hain ziya-e-ulfat ki pak kirnen

    phir apne firdaus-e-gum-shuda ki talash mein rah-sipar hun main

    hua hun bedar kanp kar ek muhib KHwabon ke silsile se

    aur ab numud-e-sahar ki KHatir sitam-kash-e-intizar hun main

    bahaar-e-taqdis-e-jawedan ki mujhe phir ek bar aarzu hai

    phir ek pakiza zindagi ke liye bahut be-qarar hun main

    mujhe mohabbat ne masiyat ke jahannamon se bacha liya hai

    mujhe jawani ki tira-o-tar pastiyon se uTha liya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now