Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gurez

Bazm Ansari

gurez

Bazm Ansari

MORE BYBazm Ansari

    un se milne tamanna dil-e-betāb na kar

    sochtā huuñ ki mohabbat jahāñ qadr nahīñ

    jazb-e-dil jazba-e-ulfat jahāñ qadr nahīñ

    aise māhaul se behtar hai kinārā kar luuñ

    mahfileñ chhoḌ ke tanhā.ī gavārā kar luuñ

    un se milne tamanna dil-e-betāb na kar

    jis ko mā'lūm nahīñ pyaar manzil kyā hai

    jis ko ehsās nahīñ dard-bharā dil kyā hai

    aise be-dard zamāne ke nazāroñ ko salām

    bevafā husn rangīn bahāroñ ko salām

    un se milne tamanna dil-e-betāb na kar

    ahl-e-dil kushta-e-uftād-e-zamāna hoñ jahāñ

    bā-vafā tīr-e-malāmat nishāna hoñ jahāñ

    aisī rāhoñ meñ vafāoñ guzar kyā mā'nī

    in ḳhalāoñ meñ mohabbat safar kyā mā'nī

    un se milne tamanna dil-e-betāb na kar

    kaun kahtā hai ki hālāt badal jā.eñge

    kaun kahtā hai ki din-rāt badal jā.eñge

    ruuh ehsās ke bojhoñ se dabī jaatī hai

    zindagī dard ke sāñche meñ Dhalī jaatī hai

    un se milne tamanna dil-e-betāb na

    un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar

    sochta hun ki mohabbat ki jahan qadr nahin

    jazb-e-dil jazba-e-ulfat ki jahan qadr nahin

    aise mahaul se behtar hai kinara kar lun

    mahfilen chhoD ke tanhai gawara kar lun

    un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar

    jis ko ma'lum nahin pyar ki manzil kya hai

    jis ko ehsas nahin dard-bhara dil kya hai

    aise be-dard zamane ke nazaron ko salam

    bewafa husn ki rangin bahaaron ko salam

    un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar

    ahl-e-dil kushta-e-uftad-e-zamana hon jahan

    ba-wafa tir-e-malamat ka nishana hon jahan

    aisi rahon mein wafaon ka guzar kya ma'ni

    in KHalaon mein mohabbat ka safar kya ma'ni

    un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar

    kaun kahta hai ki haalat badal jaenge

    kaun kahta hai ki din-raat badal jaenge

    ruh ehsas ke bojhon se dabi jati hai

    zindagi dard ke sanche mein Dhali jati hai

    un se milne ki tamanna dil-e-betab na

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now