Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guru-nanak

Shatir Hakeemi

guru-nanak

Shatir Hakeemi

MORE BYShatir Hakeemi

    gurū-nānak jise kahte haiñ vo ik mard-e-kāmil thā

    ki us ke paas siine meñ taqaddus-āfrīñ dil thā

    vo gūñjā naġhma-e-nāhīd ban kar āsmānoñ meñ

    liyā jaatā hai naam us muqaddas dāstānoñ meñ

    haqīqat apnī manvā.ī haqīqat-āshnā ho kar

    jo uTThā ibtidā ho kar to baiThā intihā ho kar

    sabaq insāniyat dene aayā ibn-e-ādam ko

    taraqqī taraf le jaane vaalā ahl-e-ālam ko

    zamīñ bhī us lohā maan kar sonā ugaltī thī

    ki jis ke dabdabe se charḳh chhātī dahaltī thī

    vo aayā thā miTāne ke liye tafrīq maz.hab

    dam-e-āḳhir bhī jis ne itā.at ek rab

    vo insāñ jis ke qadmoñ par zamāna sar jhukānā thā

    tarīq-e-guftugū se ġhair ko apnā banātā thā

    vo rahbar jis ne gumrāhoñ aksar peshvā.ī

    bhalā.ī hamesha jis ne bhī us se burā.ī

    granthī raag sun kar aadmī bedār hotā hai

    zamāne nazar meñ sāhab-e-kirdār hotā hai

    falak bhī tāl-bandī zamīñ par naaz kartā hai

    ki us tā.ir-e-dil arsh par parvāz kartā hai

    gurū-nānak kam se kam itā.at hai kiye hote

    asar ke motiyoñ se dāman-e-dil bhar liye hote

    guru-nanak jise kahte hain wo ek mard-e-kaamil tha

    ki us ke pas sine mein taqaddus-afrin dil tha

    wo gunja naghma-e-nahid ban kar aasmanon mein

    liya jata hai nam us ka muqaddas dastanon mein

    haqiqat apni manwai haqiqat-ashna ho kar

    jo uTTha ibtida ho kar to baiTha intiha ho kar

    sabaq insaniyat ka dene aaya ibn-e-adam ko

    taraqqi ki taraf le jaane wala ahl-e-alam ko

    zamin bhi us ka loha man kar sona ugalti thi

    ki jis ke dabdabe se charKH ki chhati dahalti thi

    wo aaya tha miTane ke liye tafriq mazhab ki

    dam-e-aKHir bhi ki jis ne itaat ek hi rab ki

    wo insan jis ke qadmon par zamana sar jhukana tha

    tariq-e-guftugu se ghair ko apna banata tha

    wo rahbar jis ne gumrahon ki aksar peshwai ki

    bhalai ki hamesha jis ne bhi us se burai ki

    granthi rag sun kar aadmi bedar hota hai

    zamane ki nazar mein sahab-e-kirdar hota hai

    falak bhi tal-bandi ki zamin par naz karta hai

    ki us ka tair-e-dil arsh par parwaz karta hai

    guru-nanak ki kam se kam itaat hai kiye hote

    asar ke motiyon se daman-e-dil bhar liye hote

    Source:

    Maut-o-Hayat (Pg. 36(e) 39 )

    • Author: Shatir Hakeemi
      • Edition: 1938
      • Publisher: Maktaba Ibrahimiya, Hyderabad
      • Year of Publication: 1944

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now