Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzarte lamhon ka matam

Aftab Shamsi

guzarte lamhon ka matam

Aftab Shamsi

MORE BYAftab Shamsi

    sunahre ḳhvāboñ vaadī meñ muddatoñ ham ne

    ka.ī makān basā.e ka.ī makīñ badle

    tamām umr rahā intizār aalam

    guzarte lamhoñ mātam kiyā niDhāl rahe

    na dostoñ meñ koī ab na dushmanoñ meñ koī

    hamāre maazī ham se hisāb le kar jo

    hamāre sūd-o-ziyāñ lagā ke andāza

    hameñ batā.e ki kyā khoyā ham ne kyā paayā

    bas ek vaqt Thokar ba-shakl-e-shām-o-sahar

    hamāre paañv meñ lag lag ke pūchhtī hai roz

    kahāñ se aa.e ho kab tak chaloge tum yūñhī

    javāb is bhī hai us ke paas lekin

    savāl karne aadat paḌ ga.ī hai use

    sunahre KHwabon ki wadi mein muddaton hum ne

    kai makan basae kai makin badle

    tamam umr raha intizar ka aalam

    guzarte lamhon ka matam kiya niDhaal rahe

    na doston mein koi ab na dushmanon mein koi

    hamare mazi ka hum se hisab le kar jo

    hamare sud-o-ziyan ka laga ke andaza

    hamein batae ki kya khoya hum ne kya paya

    bas ek waqt ki Thokar ba-shakl-e-sham-o-sahar

    hamare panw mein lag lag ke puchhti hai roz

    kahan se aae ho kab tak chaloge tum yunhi

    jawab is ka bhi hai us ke pas hi lekin

    sawal karne ki aadat si paD gai hai use

    Source:

    Khla Ki Dhund Men Ham Chal Rahe Hain (Pg. 22)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now