Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

habil chup hai

Arifa Shahzad

habil chup hai

Arifa Shahzad

MORE BYArifa Shahzad

    kab talak gehūñ kakḌī

    pyaaz aur masūr khāte raheñ

    apne ajdād ke

    sab gunāhoñ bojh

    ab uThāte raheñ

    ham jo qābīl qātil

    aulād haiñ

    jis tarah ke bhī haiñ

    kis ījād haiñ

    ham ne chakkhā nahīñ

    koī jannat phal

    ham ne dekhā nahīñ

    apne ajdād koī aaj aur na kal

    kyoñ utaar ga.ī

    ham pe aisī bhuuk aur pyaas

    anginat ham ne ashjār bhī haiñ ugaa.e hue

    phir bhī ajdād par jo utārī ga.ī dhuup

    ham bhī isī meñ jalā.e ga.e

    jism to hamārā bhī saaya

    aur ajdād bhī

    rahā hai hamesha mahv-e-sujūd

    phir bhī ham par aur un par

    lagā.ī ga.ī haiñ ye kaisī quyūd

    kis qurbānī ko sharaf baḳhshā gayā

    aur virāsat haqdār Thahrā hai kaun

    ham qābīl kul kamā.ī haiñ kyoñ

    ik tamāshā haiñ

    to phir tamāshā.ī kyoñ

    vo to ajdād the

    jo utāre ga.e the falak se

    magar tā-qayāmat

    zamīñ par hamārī ye rusvā.ī kyoñ

    kab talak gehun kakDi

    pyaz aur masur hi khate rahen

    apne ajdad ke

    sab gunahon ka bojh

    ab uThate rahen

    hum jo qabil qatil ki

    aulad hain

    jis tarah ke bhi hain

    kis ki ijad hain

    hum ne chakkha nahin

    koi jannat ka phal

    hum ne dekha nahin

    apne ajdad ka koi aaj aur na kal

    kyon utar gai

    hum pe aisi hi bhuk aur pyas

    anginat hum ne ashjar bhi hain ugae hue

    phir bhi ajdad par jo utari gai dhup

    hum bhi isi mein jalae gae

    jism ka to hamara bhi saya

    aur ajdad ka bhi

    raha hai hamesha hi mahw-e-sujud

    phir bhi hum par aur un par

    lagai gai hain ye kaisi quyud

    kis ki qurbani ko sharaf baKHsha gaya

    aur wirasat ka haqdar Thahra hai kaun

    hum hi qabil ki kul kamai hain kyon

    ek tamasha hain

    to phir tamashai kyon

    wo to ajdad the

    jo utare gae the falak se

    magar ta-qayamat

    zamin par hamari ye ruswai kyon

    Source:

    Tasteer (Pg. 215)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now