Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasil ka safar

Raj Narayan Raaz

hasil ka safar

Raj Narayan Raaz

MORE BYRaj Narayan Raaz

    tanhā.ī ḳhāmoshī meñ

    bekār ulajhtā hai

    zaar o pareshāñ rahtā huuñ

    lekin logoñ ke jamghaT meñ

    ik mohmal se shor-o-ġhul meñ

    shaḳhsiyyat samjhaute ke tezāb meñ hal ho jaatī hai

    dil hotā hai aur pashemāñ

    tanhā.ī ḳhāmoshī meñ

    bhuut shikast-o-nākāmī ke

    ik ik kar ke mujh se jab bhī mahv-e-takallum hote haiñ

    mujh ko apnā ūñchā qad chhoTā chhoTā lagtā hai

    maiñ ik zarra ek sitāra ban jaatā huuñ

    lekin maiñ vo taara kab huuñ

    kab in tāroñ meñ shāmil huuñ

    le ke ujālā jo māñge

    apnī aab baḌhāne nāhaq koshish karte haiñ

    tanhā.ī ḳhāmoshī!

    ye ghūñT hai ik zahr-e-qātil

    ghūñT hai ik amrit bhī ye

    ghūñT maiñ donoñ letā huuñ

    raat ga.e ujle bistar par

    so jaatā huuñ

    pahlī kiran ke saath

    sunahrī pagDanDī ho jaatā huuñ

    tanhai ki KHamoshi mein

    ji bekar ulajhta hai

    zar o pareshan rahta hun

    lekin logon ke jamghaT mein

    ek mohmal se shor-o-ghul mein

    shaKHsiyyat samjhaute ke tezab mein hal ho jati hai

    dil hota hai aur pasheman

    tanhai ki KHamoshi mein

    bhut shikast-o-nakaami ke

    ek ek kar ke mujh se jab bhi mahw-e-takallum hote hain

    mujh ko apna uncha sa qad chhoTa chhoTa lagta hai

    main ek zarra ek sitara ban jata hun

    lekin main wo tara kab hun

    kab in taron mein shamil hun

    le ke ujala jo mange ka

    apni aab baDhane ki nahaq si koshish karte hain

    tanhai ki KHamoshi!

    ye ghunT hai ek zahr-e-qatil ka

    ghunT hai ek amrit ka bhi ye

    ghunT main donon pi leta hun

    raat gae ujle bistar par

    so jata hun

    pahli kiran ke sath

    sunahri pagDanDi ka ho jata hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now