Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hath ki lakiren

Sardar Panchhi

hath ki lakiren

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    har bhed ko chhupā.eñ ye haath lakīreñ

    pūchho to sab batā.eñ ye haath lakīreñ

    samjho to aa.ina hai dekho to kuchh nahīñ hai

    maano to hai sabhī kuchh na maano kuchh nahīñ hai

    dekho to kuchh dikhā.eñ ye haath lakīreñ

    har bhed ko chhupā.eñ ye haath lakīreñ

    dhuñdlī ye lakīreñ haiñ zindagī rāheñ

    ye maut-o-zindagī ġham ḳhushī rāheñ

    har pal badaltī jaa.eñ ye haath lakīreñ

    har bhed ko chhupā.eñ ye haath lakīreñ

    daasī ho chāhe raanī in meñ ghirī huī hai

    kuchh bas nahīñ kisī majbūr zindagī hai

    siitā ko bhī rulā.eñ ye haath lakīreñ

    har bhed ko chhupā.eñ ye haath lakīreñ

    har bhed ko chhupaen ye hath ki lakiren

    puchho to sab bataen ye hath ki lakiren

    samjho to aaina hai dekho to kuchh nahin hai

    mano to hai sabhi kuchh na mano kuchh nahin hai

    dekho to kuchh dikhaen ye hath ki lakiren

    har bhed ko chhupaen ye hath ki lakiren

    dhundli si ye lakiren hain zindagi ki rahen

    ye maut-o-zindagi ki gham ki KHushi ki rahen

    har pal badalti jaen ye hath ki lakiren

    har bhed ko chhupaen ye hath ki lakiren

    dasi ho chahe rani in mein ghiri hui hai

    kuchh bas nahin kisi ka majbur zindagi hai

    sita ko bhi rulaen ye hath ki lakiren

    har bhed ko chhupaen ye hath ki lakiren

    Source:

    (Pg. 22)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now