Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazir-ghaeb

Hamida Shaheen

hazir-ghaeb

Hamida Shaheen

MORE BYHamida Shaheen

    ishāra kis ne toḌā hai

    ki chaurāhe ke bīchoñ-bīch

    ham ik dūsre se is tarah Takrā ga.e haiñ

    ye chāroñ rāste

    ham ne mohabbat kudāloñ se tarāshe the

    hameñ phūloñ pe chalne ishāra chāhiye thā

    magar rishtoñ ke bādal jo kabhī dil par baraste the

    to hariyālī mausam chāroñ jānib phail jaatā thā

    vo bādal kāñch ke mānind yuuñ TuuTe fazāoñ meñ

    ki har rastā nukīlī kirchiyoñ surma.ī bārish meñ bhīgā hai

    ye chaurāhā

    ki jo apne milan isti.āra thā

    tamāshā-gāh meñ badlā

    musāfir ek-dūje ke muqābil aa jaate haiñ

    magar apnā safar kaise tasādum meñ Dhalā āḳhir

    use ik hādse shakl kaise aur kis ne

    safar ko sānehe pairahan pahnā ke

    chaurāhe ke bīchoñ-bīch istāda kiyā jis ne

    use ham kis tarah DhūñDeñ

    use ham kaise pahchāneñ

    ki har-sū ḳhushnumā chehre kachūmar ho ke bikhre haiñ

    vo malġhūba jo us andhe tasādum natīja hai

    use kis shakl meñ Dhāleñ

    ishaara kis ne toDa hai

    ki chaurahe ke bichon-bich

    hum ek dusre se is tarah Takra gae hain

    ye chaaron raste

    hum ne mohabbat ki kudalon se tarashe the

    hamein phulon pe chalne ka ishaara chahiye tha

    magar rishton ke baadal jo kabhi dil par baraste the

    to hariyali ka mausam chaaron jaanib phail jata tha

    wo baadal kanch ke manind yun TuTe fazaon mein

    ki har rasta nukili kirchiyon ki surmai barish mein bhiga hai

    ye chauraha

    ki jo apne milan ka istiara tha

    tamasha-gah mein badla

    musafir ek-duje ke muqabil aa hi jate hain

    magar apna safar kaise tasadum mein Dhala aaKHir

    use ek hadse ki shakl kaise aur kis ne di

    safar ko sanehe ka pairahan pahna ke

    chaurahe ke bichon-bich istada kiya jis ne

    use hum kis tarah DhunDen

    use hum kaise pahchanen

    ki har-su KHushnuma chehre kachumar ho ke bikhre hain

    wo malghuba jo us andhe tasadum ka natija hai

    use kis shakl mein Dhaalen

    Source:

    Zinda Hun (Pg. 85)

    • Author: Hamida Shaheen
      • Edition: 2010
      • Publisher: Multi Media Affairs, Lahore
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now