Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

habib jalib

Muslim Shameem

habib jalib

Muslim Shameem

MORE BYMuslim Shameem

    zamīr-e-vaqt āvāz rūh-e-asr karb

    sameTe dāman-e-dil meñ na jaane kab se thā

    hisār-e-jabr-o-sitam meñ dukhoñ bastī meñ

    jalā.e sham.a-e-qalam ham-kalām shab se thā

    harīf-e-sunnat-e-āzar kalīm-e-jāda-e-fan

    sanam-kade meñ muḳhātib butoñ ke rab se thā

    vo apne ahd mansūr harf-e-haq naqīb

    salīb-e-vaqt pe faa.ez vo shaḳhs kab se thā

    vo lab jo harf-e-sar-e-dār muġhannī thā

    jo naġhma-ḳhvāñ sar-e-maqtal rahā ujāloñ

    ho nazm ki ġhazal muḳhtalif vo sab se thā

    kamāl pyaar use mansab-e-adab se thā

    vo ek shaḳhs jise jān-e-fikr-o-fan kahiye

    jamāl-e-dīda-varī hurmat-e-suḳhan kahiye

    vo ek shaḳhs jise mash.al-e-navā kahiye

    vo ek shaḳhs jise nuur asā kahiye

    jalā.e sham.a-e-qalam ham-kalām shab se thā

    salīb-e-vaqt pe faa.ez vo shaḳhs kab se thā

    zamir-e-waqt ki aawaz ruh-e-asr ka karb

    sameTe daman-e-dil mein na jaane kab se tha

    hisar-e-jabr-o-sitam mein dukhon ki basti mein

    jalae shama-e-qalam ham-kalam shab se tha

    harif-e-sunnat-e-azar kalim-e-jada-e-fan

    sanam-kade mein muKHatib buton ke rab se tha

    wo apne ahd ka mansur harf-e-haq ka naqib

    salib-e-waqt pe faez wo shaKHs kab se tha

    wo lab jo harf-e-sar-e-dar ka mughanni tha

    jo naghma-KHwan sar-e-maqtal raha ujalon ka

    ho nazm ya ki ghazal muKHtalif wo sab se tha

    kamal pyar use mansab-e-adab se tha

    wo ek shaKHs jise jaan-e-fikr-o-fan kahiye

    jamal-e-dida-wari hurmat-e-suKHan kahiye

    wo ek shaKHs jise mashal-e-nawa kahiye

    wo ek shaKHs jise nur ka asa kahiye

    jalae shama-e-qalam ham-kalam shab se tha

    salib-e-waqt pe faez wo shaKHs kab se tha

    Source:

    Imkan (Pg. 171)

    • Author: Muslim Shameem
      • Publisher: Javedan Pulications, Karachi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now