Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai meri soch mein raqsan sabhi jazbaat ka rang

Ain Seen

hai meri soch mein raqsan sabhi jazbaat ka rang

Ain Seen

MORE BYAin Seen

    hai mirī soch meñ raqsāñ sabhī jazbāt rang

    aur har rang se baḌh kar hai tirī zaat rang

    hai gulābī magar ik shoḳh ke isbāt rang

    zard inkār pe hairat ke savālāt rang

    malgajā mailā majbūri-e-hālāt rang

    surma.ī rang judā.ī hai sā.āt rang

    kyā yahī rang hai vahshat siyah raat rang

    ubharte hue phir zehn meñ shub.hāt rang

    kāsnī dard aur maut sakrāt rang

    aas qaus-o-quzah harf-e-munājāt rang

    nazr-e-ehsās-e-gunah ho gayā din raat rang

    hai ravāñ ḳhuun be-rabt ḳhayālāt rang

    champa.ī maazī yādoñ bharī bārāt rang

    shoḳh Thahrā hai bhaḌakte hue jazbāt rang

    jaltā hai shauq tābish se mulāqāt rang

    ḳhauf rang mire fardā ke ḳhadshāt rang

    nuur nuur magar qibla-e-hājāt rang

    ek har lahza badaltā huā ā.īna hai

    kyoñ badaltā nahīñ phir haal hālāt rang

    aa bhar de vahī mujh meñ ḳharābāt rang

    mujh ko aa jaa.e tarīqa ki jiyūñ aaj meñ maiñ

    aa ki badle to zarā mere ḳhayālāt rang

    hai meri soch mein raqsan sabhi jazbaat ka rang

    aur har rang se baDh kar hai teri zat ka rang

    hai gulabi magar ek shoKH ke isbaat ka rang

    zard inkar pe hairat ke sawalat ka rang

    malgaja maila sa majburi-e-haalat ka rang

    surmai rang judai ki hai saat ka rang

    kya yahi rang hai wahshat ka siyah raat ka rang

    ya ubharte hue phir zehn mein shubhat ka rang

    kasni dard ka aur maut ki sakraat ka rang

    aas ki qaus-o-quzah harf-e-munajat ka rang

    nazr-e-ehsas-e-gunah ho gaya din raat ka rang

    hai rawan KHun sa be-rabt KHayalat ka rang

    champai mazi ka yaadon bhari baraat ka rang

    shoKH Thahra hai bhaDakte hue jazbaat ka rang

    jalta hai shauq ki tabish se mulaqat ka rang

    KHauf ka rang mere farda ke KHadshat ka rang

    nur hi nur magar qibla-e-hajat ka rang

    ek har lahza badalta hua aaina hai

    kyon badalta nahin phir haal ka haalat ka rang

    aa ja bhar de na wahi mujh mein KHarabaat ka rang

    mujh ko aa jae tariqa ki jiyun aaj mein main

    aa ki badle to zara mere KHayalat ka rang

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now