Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hairat-KHana-e-imroz

Ahmad Zafar

hairat-KHana-e-imroz

Ahmad Zafar

MORE BYAhmad Zafar

    ab koī phuul mire dard ke dariyā meñ nahīñ

    ab koī zaḳhm mire zehn ke sahrā meñ nahīñ

    na kisī jannat-e-arzī havāla mujh se

    na jahannam dahaktā huā sho.ala koī

    mere ehsās ke parde pe ravāñ rahtā hai

    maiñ kahāñ huuñ? mujhe ma.alūm nahīñ!!

    bolte lafz bhī ḳhāmosh tamannā.ī haiñ

    jāgte ḳhvāb ta.abīr yahī hai shāyad

    merī taqdīr yahī hai shāyad

    maiñ jise dekhnā chāhūñ mujhe andhā kah de!

    kaun huuñ maiñ mujhe ai dīda-e-bīnā kah de!

    zindagī kyuuñ kisī mafhūm se aarī rahī

    dhuup meñ jism sulagte chale jaate haiñ

    maut ḳhauf simaTtā hai bikhar jaatā hai

    fāḳhta jaise kisī peḌ shāḳhoñ meñ chhupī baiThī ho

    saañs siine meñ kisī tiir mānind utar jaatī hai

    muñh chhupā.e hue sūraj bhī fanā tasvīr

    pyaas ban kar kisī dariyā meñ utar jaatā hai

    aas ne yaas ke mahtāb se ḳhushbū māñgī

    chehra-e-gul pe kisī qatra-e-shabnam duā utrī hai

    ab koi phul mere dard ke dariya mein nahin

    ab koi zaKHm mere zehn ke sahra mein nahin

    na kisi jannat-e-arzi ka hawala mujh se

    na jahannam ka dahakta hua shoala koi

    mere ehsas ke parde pe rawan rahta hai

    main kahan hun? mujhe malum nahin!!

    bolte lafz bhi KHamosh tamannai hain

    jagte KHwab ki tabir yahi hai shayad

    meri taqdir yahi hai shayad

    main jise dekhna chahun mujhe andha kah de!

    kaun hun main mujhe ai dida-e-bina kah de!

    zindagi kyun kisi mafhum se aari hi rahi

    dhup mein jism sulagte hi chale jate hain

    maut ka KHauf simaTta hai bikhar jata hai

    faKHta jaise kisi peD ki shaKHon mein chhupi baiThi ho

    sans sine mein kisi tir ki manind utar jati hai

    munh chhupae hue suraj bhi fana ki taswir

    pyas ban kar kisi dariya mein utar jata hai

    aas ne yas ke mahtab se KHushbu mangi

    chehra-e-gul pe kisi qatra-e-shabnam ki dua utri hai

    Source :
    • Book : siip-volume-46 (Pg. 140)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now