Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ek hain

Shahid Sagri

hum ek hain

Shahid Sagri

MORE BYShahid Sagri

    hai apnā yaqīñ desh ke dīvāne sabhī haiñ

    is sham.a-e-ziyā-bār ke parvāne sabhī haiñ

    haiñ vaqf yahāñ is mohabbat ke liye ham

    jaañ de deñge is desh azmat ke liye ham

    koī bhī hameñ is se judā kar nahīñ saktā

    ham se bhī koī is gila kar nahīñ saktā

    tā-zīst isī ke liye sarshār raheñge

    is mai ke hamesha talabgār raheñge

    izzat ko kabhī is girāne nahīñ deñge

    dushman ko kabhī aañkh uThāne nahīñ deñge

    ulfat hai to āñkhoñ ke guhar ek haiñ apne

    do samt sahī dil to magar ek haiñ apne

    zinhār na 'shāhid' burā aapas meñ kaheñge

    ham ek the ham ek haiñ ham ek raheñge

    hai apna yaqin desh ke diwane sabhi hain

    is shama-e-ziya-bar ke parwane sabhi hain

    hain waqf yahan is ki mohabbat ke liye hum

    jaan de denge is desh ki azmat ke liye hum

    koi bhi hamein is se juda kar nahin sakta

    hum se bhi koi is ka gila kar nahin sakta

    ta-zist isi ke liye sarshaar rahenge

    is mai ke hamesha hi talabgar rahenge

    izzat ko kabhi is ki girane nahin denge

    dushman ko kabhi aankh uThane nahin denge

    ulfat hai to aankhon ke guhar ek hain apne

    do samt sahi dil to magar ek hain apne

    zinhaar na 'shahid' bura aapas mein kahenge

    hum ek the hum ek hain hum ek rahenge

    Source:

    Sadiyon Ka Karb (Pg. 77)

    • Author: Shahid Sagri
      • Publisher: Nishat Offset Press, Faizabad
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now