hum gunahgar tere
ḳhud-sarī se ḳhafā kis liye
chāhatoñ kā safar ḳhud-sarī hai
hasratoñ kī salāmat-ravī be-samar
nā-murādoñ kī chāragarī hai
aur pas-e-pusht terī burā.ī
kareñ tere dushman
ki ham tan-badan se talabgār tere
agar nā-rasā aarzū se ibārat vafā hai to ho
ham ki sarshār haiñ vasl se
ham gunahgār tere
KHud-sari se KHafa kis liye
chahaton ka safar KHud-sari hai
hasraton ki salamat-rawi be-samar
na-muradon ki chaaragari hai
aur pas-e-pusht teri burai
karen tere dushman
ki hum tan-badan se talabgar tere
agar na-rasa aarzu se ibarat wafa hai to ho
hum ki sarshaar hain wasl se
hum gunahgar tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.