hum sab hain hindostani
ham sab haiñ hindostānī
apne dukh-sukh ek haiñ sāthī apnī ek kahānī
ham sab haiñ hindostānī
insānoñ kī 'izzat karnā dharmoñ kā sammān
sachchā.ī kī raah dikhā.eñ giitā aur qur.ān
gajar hai girjā ghar kā pyārā pyārī hai gurbānī
āzādī ke rāh-numā haiñ baapū nehru aur āzād
un kī qurbānī se huā hai ujḌā chaman ābād
paramparā ye prem kī apnī kitne yugoñ purānī
hum sab hain hindostani
apne dukh-sukh ek hain sathi apni ek kahani
hum sab hain hindostani
insanon ki 'izzat karna dharmon ka samman
sachchai ki rah dikhaen gita aur quran
gajar hai girja ghar ka pyara pyari hai gurbani
aazadi ke rah-numa hain bapu nehru aur aazad
un ki qurbani se hua hai ujDa chaman aabaad
parampara ye prem ki apni kitne yugon purani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.