Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-safar

Riyaz Anwar

ham-safar

Riyaz Anwar

MORE BYRiyaz Anwar

    niile ākāsh raanī sundar terā bhes

    baiTh ke uḌan-khaTole par ghūme des-bides

    tere hoñToñ ke phūloñ se mahke ye sansār

    tere mīThe bol ki jaise paa.el jhankār

    terī zulfoñ ḳhushbū apnī bāheñ phailā.e

    sāvan badlī sūrat nagrī nagrī jaa.e

    terī chaal meñ mast-pavan albelā lahrāv

    jaise padmā lahroñ par ik bahtī naav

    terī chitvan ke chandā ne sab ko raah dikhā.ī

    lekin tere pyaar manzil tere haath na aa.ī

    jaane apne zaḳhmī dil meñ kitne dard chhupā.e

    duuje dil bahlāne ko pal-pal muskā.e

    tu nile aakash ki rani sundar tera bhes

    baiTh ke uDan-khaTole par tu ghume des-bides

    tere honTon ke phulon se mahke ye sansar

    tere miThe bol ki jaise pael ki jhankar

    teri zulfon ki KHushbu apni bahen phailae

    sawan ki badli ki surat nagri nagri jae

    teri chaal mein mast-pawan ka albela lahraw

    ya jaise padma ki lahron par ek bahti naw

    teri chitwan ke chanda ne sab ko rah dikhai

    lekin tere pyar ki manzil tere hath na aai

    jaane apne zaKHmi dil mein kitne dard chhupae

    duje ka dil bahlane ko tu pal-pal muskae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now