hum tere shahr mein aae hain musafir ki tarah
ham tire shahr meñ aa.e haiñ musāfir kī tarah
sirf ik baar mulāqāt kā mauqa' de de
apnī āñkhoñ meñ chhupā rakkhe haiñ jugnū maiñ ne
apnī palkoñ pe sajā rakkhe haiñ aañsū maiñ ne
merī āñkhoñ ko bhī barsāt kā mauqa' de de
aaj kī raat mirā dard-e-mohabbat sun le
kapkapāte hue hoñToñ kī shikāyat san le
aaj iz.hār-e-ḳhayālāt kā mauqa' de de
merī manzil hai kahāñ merā Thikānā hai kahāñ
sub.h tak tujh se bichhaḌ kar mujhe jaanā hai kahāñ
sochne ke liye ik raat kā mauqa' de de
bhūlnā thā to ye iqrār kiyā hī kyoñ thā
be-vafā tū ne mujhe pyaar kiyā hī kyoñ thā
sirf do chaar savālāt kā mauqa' de de
ham tire shahr meñ aa.e haiñ musāfir kī tarah
sirf ik baar mulāqāt kā mauqa' de de
hum tere shahr mein aae hain musafir ki tarah
sirf ek bar mulaqat ka mauqa' de de
apni aankhon mein chhupa rakkhe hain jugnu main ne
apni palkon pe saja rakkhe hain aansu main ne
meri aankhon ko bhi barsat ka mauqa' de de
aaj ki raat mera dard-e-mohabbat sun le
kapkapate hue honTon ki shikayat san le
aaj izhaar-e-KHayalat ka mauqa' de de
meri manzil hai kahan mera Thikana hai kahan
subh tak tujh se bichhaD kar mujhe jaana hai kahan
sochne ke liye ek raat ka mauqa' de de
bhulna tha to ye iqrar kiya hi kyon tha
be-wafa tu ne mujhe pyar kiya hi kyon tha
sirf do chaar sawalat ka mauqa' de de
hum tere shahr mein aae hain musafir ki tarah
sirf ek bar mulaqat ka mauqa' de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.