Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari KHwahishat hamari zaruriyat ki paidawar hain

Javed Nadeem

hamari KHwahishat hamari zaruriyat ki paidawar hain

Javed Nadeem

MORE BYJaved Nadeem

    hamārī ḳhvāhishāt hamārī zarūriyāt paidāvār haiñ

    ḳhvāhishāt takmīl ḳhushī detī hai

    aur adam-e-takmīl ranj

    ḳhushī aur ranj kyā hai

    hamāre apne mizāj jam.a-tafrīq

    kyā tum ne kabhī kisī ke liye maut ḳhvāhish hai

    maut meñ ek ḳhushī poshīda hai

    ek svārth nihit hai

    tumhārī zindagī svārth pe qaa.em hai

    tum jab bhī maut chāhoge apne svārth ke liye chāhoge

    yuuñ koī maut ko gale lagātā hai

    maiñ sochtā huuñ

    zindagī sāñsoñ ne

    mere badan ko hiddat ke sivā kyā diyā hai

    dhartī par ek bojh se ziyāda nahīñ rahā hai merā vajūd

    āḳhir dhartī kab tak merā bojh bardāsht karegī

    vaqt aa gayā hai ki maut mujhe gale lagā le

    maiñ dhartī bojh kam karnā chāhtā huuñ

    zindagī ke bojh se ḳhud chhuTkārā hāsil karnā chāhtā huuñ

    maiñ jāntā huuñ

    merī maut se sansār apnī raftār dhīmī nahīñ kar legā

    vaqt Thahar nahīñ jā.egā

    ki maiñ kisī ke liye zinda nahīñ thā

    aur merī maut bhī

    apne liye hai

    ḳhālis apne liye

    hamari KHwahishat hamari zaruriyat ki paidawar hain

    KHwahishat ki takmil KHushi deti hai

    aur adam-e-takmil ranj

    KHushi aur ranj kya hai

    hamare apne mizaj ki jama-tafriq

    kya tum ne kabhi kisi ke liye maut ki KHwahish ki hai

    maut mein ek KHushi poshida hai

    ek swarth nihit hai

    tumhaari zindagi swarth pe qaem hai

    tum jab bhi maut chahoge apne swarth ke liye chahoge

    yun koi maut ko gale lagata hai

    main sochta hun

    zindagi ki sanson ne

    mere badan ko hiddat ke siwa kya diya hai

    dharti par ek bojh se ziyaada nahin raha hai mera wajud

    aaKHir dharti kab tak mera bojh bardasht karegi

    waqt aa gaya hai ki maut mujhe gale laga le

    main dharti ka bojh kam karna chahta hun

    ya zindagi ke bojh se KHud chhuTkara hasil karna chahta hun

    main jaanta hun

    meri maut se sansar apni raftar dhimi nahin kar lega

    waqt Thahar nahin jaega

    ki main kisi ke liye zinda nahin tha

    aur meri maut bhi

    apne liye hai

    KHalis apne liye

    Source:

    Mauj-e-Khayal (Pg. 90)

    • Author: Javed Nadeem
      • Publisher: Takmeel Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now