hans aur jhil
hans batā.e kyā jo kuchh andar jhiil meñ
jo kuchh andar jhiil meñ uupar laa.e kyā
uupar laa.e kyā andar kā ākāsh
andar kā ākāsh gūñje āTh-pahar
gūñje āTh-pahar us kā nek qadam
us kā nek qadam miTTī ke mābain
miTTī ke mābain gandum aur javār
gandum aur javār khetoñ kā imkān
khetoñ kā imkān jaise biij meñ phuul
jaise biij meñ phuul jaise jism meñ jaan
jaise jism meñ jaan par tole har aan
par tole har aan ek parind mahān
ek parind mahān bārish sā muñh-zor
bārish sā muñh-zor niklā ek savār
niklā ek savār andar kī mehrāb se
andar kī mehrāb se sūraj kā sandes
sūraj kā sandes jhiil kā pahlā 'aks
jhiil kā pahlā 'aks tah kā ek charāġh
tah kā ek charāġh jaage andar jhiil meñ
jaage andar jhiil meñ rangoñ kā pātāl
rangoñ kā pātāl uupar laa.e kyā
uupar laa.e kyā jo kuchh andar jhiil meñ
jo kuchh andar jhiil meñ hans batā.e kyā
hans batae kya jo kuchh andar jhil mein
jo kuchh andar jhil mein upar lae kya
upar lae kya andar ka aakash
andar ka aakash gunje aaTh-pahar
gunje aaTh-pahar us ka nek qadam
us ka nek qadam miTTi ke mabain
miTTi ke mabain gandum aur jawar
gandum aur jawar kheton ka imkan
kheton ka imkan jaise bij mein phul
jaise bij mein phul jaise jism mein jaan
jaise jism mein jaan par tole har aan
par tole har aan ek parind mahan
ek parind mahan barish sa munh-zor
barish sa munh-zor nikla ek sawar
nikla ek sawar andar ki mehrab se
andar ki mehrab se suraj ka sandes
suraj ka sandes jhil ka pahla 'aks
jhil ka pahla 'aks tah ka ek charagh
tah ka ek charagh jage andar jhil mein
jage andar jhil mein rangon ka patal
rangon ka patal upar lae kya
upar lae kya jo kuchh andar jhil mein
jo kuchh andar jhil mein hans batae kya
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 108)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.