Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har raat ka KHwab

Sahba Akhtar

har raat ka KHwab

Sahba Akhtar

MORE BYSahba Akhtar

    maiñ hamesha tarah tanhā.ī bāhoñ meñ bāheñ Daal kar

    raat bhī sāhil pe thā mahv-e-ḳhirām

    raat bhī apne saa.e nigāhoñ meñ nigāheñ Daal kar

    maiñ ḳhud apne-āp se thā ham-kalām

    dam-ba-dam dāman-kashāñ thā raat bhī gahre samundar fusūñ

    khiñch rahī thiiñ raat niilī rageñ

    raat bhī jab baḌh rahā thā tez vahshat-ḳhez maujoñ junūñ

    merā saaya kah rahā thā aa chaleñ

    nā-gahāñ TuuTā dhueñ ābshār

    dekhte dekhte bijlī girī ik zor kauñdā huā

    meñ bhañvar jaise safīne par savār

    bādbāñ jis havā.eñ bijliyāñ mastūl tūfāñ nāḳhudā

    tak rahā thā har taraf dīvāna-vār

    raat bhī maiñ ḳhauf shiddat meñ apne saa.e se lipTā huā

    raat bhī palkoñ pe raushan thā lahū

    raat bhī jārī-o-sārī thā ragoñ meñ bijliyoñ irti.āsh

    raat bhī hairāñ thī chashm-e-justujū

    raat bhī dekhī hai maiñ ne apne ik ham-shakl maujoñ meñ laash

    us pathrā.ī huī āñkhoñ se duur

    raat bhī maiñ buz-dilī se bhaag aayā us ko tanhā chhoḌ kar

    bār-e-shab se aaj bhī shāne haiñ chuur

    aaj bhī uTThā huuñ jaise ruuh tārīk gherā toḌ kar

    main hamesha ki tarah tanhai ki bahon mein bahen Dal kar

    raat bhi sahil pe tha mahw-e-KHiram

    raat bhi apne hi sae ki nigahon mein nigahen Dal kar

    main KHud apne-ap se tha ham-kalam

    dam-ba-dam daman-kashan tha raat bhi gahre samundar ka fusun

    khinch rahi thin raat ki nili ragen

    raat bhi jab baDh raha tha tez wahshat-KHez maujon ka junun

    mera saya kah raha tha aa chalen

    na-gahan TuTa dhuen ka aabshaar

    dekhte hi dekhte bijli giri ek zor ka kaunda hua

    mein bhanwar jaise safine par sawar

    baadban jis ki hawaen bijliyan mastul tufan naKHuda

    tak raha tha har taraf diwana-war

    raat bhi main KHauf ki shiddat mein apne sae se lipTa hua

    raat bhi palkon pe raushan tha lahu

    raat bhi jari-o-sari tha ragon mein bijliyon ka irtiash

    raat bhi hairan thi chashm-e-justuju

    raat bhi dekhi hai main ne apne ek ham-shakl ki maujon mein lash

    us ki pathrai hui aankhon se dur

    raat bhi main buz-dili se bhag aaya us ko tanha chhoD kar

    bar-e-shab se aaj bhi shane hain chur

    aaj bhi uTTha hun jaise ruh ka tarik ghera toD kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now