Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf-e-na-rasa

Farigh Bukhari

harf-e-na-rasa

Farigh Bukhari

MORE BYFarigh Bukhari

    khulī kitāb ke hurūf

    sharmgīñ nigāh se

    dekhte haiñ yuuñ mujhe

    ki jaise ye na.e paḌosī jaane kab se

    merī uljhanoñ ke rāzdār haiñ

    har ek lafz dard ban ke ḳhalvatoñ meñ gūñjtā hai raat bhar

    ye ḳhat bhī ajnabī nahīñ

    ye harf bhī nahīñ

    ki un har nigah meñ har adā meñ

    bolte badan har sadā meñ

    mere ang ang ke liye karb pukār hai

    samā.atoñ basāratoñ bebasī ke bāvajūd

    un dukh bharī fuġhāñ bhī sun rahā huuñ

    un ke zaḳhm dekhtā huuñ

    lekin aah

    kis qadar aziim hai ye alamiya

    ki maiñ unheñ paḌhūñ to nā-rasā.ī ġhubār

    āñkhoñ meñ utaar deñ

    tamām sa.i-e-qurb

    dūriyoñ zad pe vaar deñ

    junūn-e-sho.ala-numū ko zahr-e-intizār deñ

    khuli kitab ke huruf

    sharmgin nigah se

    dekhte hain yun mujhe

    ki jaise ye nae paDosi jaane kab se

    meri uljhanon ke raazdar hain

    har ek lafz dard ban ke KHalwaton mein gunjta hai raat bhar

    ye KHat bhi ajnabi nahin

    ye harf bhi nahin

    ki un ki har nigah mein har ada mein

    bolte badan ki har sada mein

    mere ang ang ke liye karb ki pukar hai

    samaaton basaraton ki bebasi ke bawajud

    un ki dukh bhari fughan bhi sun raha hun

    un ke zaKHm dekhta hun

    lekin aah

    kis qadar azim hai ye alamiya

    ki main unhen paDhun to na-rasai ka ghubar

    aankhon mein utar den

    tamam sai-e-qurb

    duriyon ki zad pe war den

    junun-e-shoala-numu ko zahr-e-intizar den

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now