harf-e-shirin
tum ne ik roz
rang-e-tabassum se sarshār
mujh ko 'ināyat kiyā thā
saped aur shaffāf
be-dāġh kāġhaz kā raushan sā taḳhta
maiñ lab-basta us kī taraf
der tak dekhtā jab rahā
tum ne mujh se kahā thā
agar narm nāzuk koī harf-e-shīrīñ
mujhe pesh karne kī ḳhātir
kisī roz taḳhlīq karnā
to be-dāġh shaffāf is farsh-e-nūrīñ pe karnā
maiñ tā'mīl meñ avvalīñ harf-e-shīrīñ raqam kar rahā huuñ
faqat ek hī lafz kāġhaz pe paiham
musalsal utartā hai
nāz-e-ḳhirām-e-shagufta se
raushan
munavvar
tumhārā hasīñ naam
mere shab-o-roz kī
vus'atoñ meñ daraḳhshāñ hai
jo aaj āfāq kī
sarhadoñ tak
tum ne ek roz
rang-e-tabassum se sarshaar
mujh ko 'inayat kiya tha
saped aur shaffaf
be-dagh kaghaz ka raushan sa taKHta
main lab-basta us ki taraf
der tak dekhta jab raha
tum ne mujh se kaha tha
agar narm nazuk koi harf-e-shirin
mujhe pesh karne ki KHatir
kisi roz taKHliq karna
to be-dagh shaffaf is farsh-e-nurin pe karna
main ta'mil mein awwalin harf-e-shirin raqam kar raha hun
faqat ek hi lafz kaghaz pe paiham
musalsal utarta hai
naz-e-KHiram-e-shagufta se
raushan
munawwar
tumhaara hasin nam
mere shab-o-roz ki
wus'aton mein daraKHshan hai
jo aaj aafaq ki
sarhadon tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.