Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harjai

MORE BYZia Jalandhari

    shaam lauT aa.ī ghanī tārīkī

    ab na aa.egī ḳhabar raahī

    jaagī tāroñ har ik rāh-guzār

    duur uḌtā nazar aatā hai ġhubār

    aap bāteñ haiñ kitnī phīkī

    kis raah taktī ho kaun aane lagā

    kyā tumheñ bhī koī bahkāne lagā

    un āñkheñ haiñ ki ḳhvāboñ fusūñ

    un bāteñ haiñ ki ulfat junūñ

    aap ko kaahe ġham khāne lagā

    nīm-shab niiñd ke maate taare

    raah tak tak ke kisī haare

    kis qadar sachchī thiiñ un bāteñ

    un ke saath aa.ī ga.ī thiiñ rāteñ

    aap ke haath haiñ añgāre

    maiñ bhī samjhī thī use dil ke qarīb

    merī ma.asūm bahan merī raqīb

    kyā kahā aapā nahīñ chup rahiye

    achchhā kah Dāliye kahiye kahiye

    aap āñkheñ haiñ kis qadr muhīb

    sub.h ruk ruk ke sitāre Duube

    ġham na khaao ki jo haare Duube

    aapā bhar ke mujhe rone deñ

    ġham maujoñ meñ fanā hone deñ

    kaun sāhil ke sahāre Duube

    sham lauT aai ghani tariki

    ab na aaegi KHabar rahi ki

    jagi taron ki har ek rah-guzar

    dur uDta nazar aata hai ghubar

    aap ki baaten hain kitni phiki

    kis ki rah takti ho kaun aane laga

    kya tumhein bhi koi bahkane laga

    un ki aankhen hain ki KHwabon ka fusun

    un ki baaten hain ki ulfat ka junun

    aap ko kahe ka gham khane laga

    nim-shab nind ke mate tare

    rah tak tak ke kisi ki haare

    kis qadar sachchi thin un ki baaten

    un ke sath aai gai thin raaten

    aap ke hath hain ya angare

    main bhi samjhi thi use dil ke qarib

    meri masum bahan meri raqib

    kya kaha aapa nahin chup rahiye

    achchha kah Daliye kahiye kahiye

    aap ki aankhen hain kis qadr muhib

    subh ruk ruk ke sitare Dube

    gham na khao ki jo haare Dube

    aapa ji bhar ke mujhe rone den

    gham ki maujon mein fana hone den

    kaun sahil ke sahaare Dube

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 78)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now