Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasb-e-farmaish

Habib Jalib

hasb-e-farmaish

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    maiñ tujhe phuul kahūñ aur kahūñ bhañvaroñ se

    aao us phuul ras chuus ke nācho-jhūmo

    maiñ tujhe sham.a kahūñ aur kahūñ parvāno

    aao us sham.a ke hoñToñ ko ḳhushī se chūmo

    maiñ tirī aañkh ko tashbīh duuñ maiḳhāne se

    aur ḳhud zahr-e-judā.ī talabgār rahūñ

    ġhair so.e tirī zulfoñ ghanī chhāñv meñ

    aur maiñ chāñdnī rātoñ maiñ faqat sher kahūñ

    mujh se ye tere qasīde na likhe jā.eñge

    mujh se tere liye ye ġhazleñ na kahī jā.eñgī

    yaad meñ terī maiñ sulgā na sakūñgā āñkheñ

    saḳhtiyāñ dard mujh se na sahī jā.eñgī

    shahr meñ aise musavvir haiñ jo sikkoñ ke evaz

    husn meñ lailā-o-azrā se baḌhā deñge tujhe

    tuul de kar tirī zulfoñ ko shab-e-ġham tarah

    fan ke e.ajāz se nāgin banā deñge tujhe

    tujh ko shahr zarūrat hai mohabbat mujhe

    ai hasīna tirī manzil mirī manzil meñ nahīñ

    naach ghar terī nigāhoñ meñ haiñ raqsāñ lekin

    is ta.ayyush tamannā.eñ mire dil meñ nahīñ

    dekh ke ġhair ke pahlū meñ tujhe raqs-kunāñ

    bhiig jaatī hai mirī aañkh sarishk-e-ġham se

    mujh ko barsoñ ġhulāmī ḳhayāl aatā hai

    jis ne andāz-e-vafā chhīn liyā hai ham se

    mujh ko bhañvrā na samajh mujh ko patañgā na samajh

    mujh ko insān samajh merī sadāqat se na khel

    terī tafrīh sāmāñ na banūñgā hargiz

    merī duniyā hai yahī merī mohabbat se na khel

    main tujhe phul kahun aur kahun bhanwaron se

    aao us phul ka ras chus ke nacho-jhumo

    main tujhe shama kahun aur kahun parwano

    aao us shama ke honTon ko KHushi se chumo

    main teri aankh ko tashbih dun maiKHane se

    aur KHud zahr-e-judai ka talabgar rahun

    ghair soe teri zulfon ki ghani chhanw mein

    aur main chandni raaton main faqat sher kahun

    mujh se ye tere qaside na likhe jaenge

    mujh se tere liye ye ghazlen na kahi jaengi

    yaad mein teri main sulga na sakunga aankhen

    saKHtiyan dard ki mujh se na sahi jaengi

    shahr mein aise musawwir hain jo sikkon ke ewaz

    husn mein laila-o-azra se baDha denge tujhe

    tul de kar teri zulfon ko shab-e-gham ki tarah

    fan ke eajaz se nagin si bana denge tujhe

    tujh ko shahr ki zarurat hai mohabbat ki mujhe

    ai hasina teri manzil meri manzil mein nahin

    nach ghar teri nigahon mein hain raqsan lekin

    is tayyush ki tamannaen mere dil mein nahin

    dekh ke ghair ke pahlu mein tujhe raqs-kunan

    bhig jati hai meri aankh sarishk-e-gham se

    mujh ko barson ki ghulami ka KHayal aata hai

    jis ne andaz-e-wafa chhin liya hai hum se

    mujh ko bhanwra na samajh mujh ko patanga na samajh

    mujh ko insan samajh meri sadaqat se na khel

    teri tafrih ka saman na banunga hargiz

    meri duniya hai yahi meri mohabbat se na khel

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 212)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now