Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hatheli

Wazir Agha

hatheli

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    ek pattā girā

    ne aañsū bharī tund gaalī se jis svāgat kiyā

    ek pattā girā

    ḳhushk hoñToñ par apnī zabāñ pher kar

    ne ik baar phir apnī banjar hathelī ko aage kiyā

    ek pattā girā

    laal sūraj

    jo din phir pake seb ke ruup meñ

    tere sar par laTaktī huī

    bāñjh shāḳhoñ ke jhūle se chipkā rahā

    ab kahāñ hai

    vo rañgoñ tūfāñ

    tujhe jis ḳhātir hathelī banjar zamīñ ko sajānā paḌā

    ab kahāñ hai

    laraztā huā laal sūraj to kaale samundar jholī meñ gir bhī chukā

    lo vo pattā girā

    ek patta gira

    tu ne aansu bhari tund gali se jis ka swagat kiya

    ek patta gira

    KHushk honTon par apni zaban pher kar

    tu ne ek bar phir apni banjar hatheli ko aage kiya

    ek patta gira

    lal suraj

    jo din phir pake seb ke rup mein

    tere sar par laTakti hui

    banjh shaKHon ke jhule se chipka raha

    ab kahan hai

    wo rangon ka tufan

    tujhe jis ki KHatir hatheli ki banjar zamin ko sajaana paDa

    ab kahan hai

    larazta hua lal suraj to kale samundar ki jholi mein gir bhi chuka

    lo wo patta gira

    Source:

    Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 101)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now