hawa
havā kī bāteñ
merī samajh meñ aatī haiñ
daraḳhtoñ kā sukūt mujh se kalām kartā hai
bārish mere saath saath chaltī hai
us ke ghar tak
ek saḌak hai
saḌak ke do-rūya
palm ke do paudhe haiñ
ek nāriyal kā daraḳht
us ke ghar par jhukā huā hai
havā kī bāteñ merī samajh meñ aatī haiñ
hawa ki baaten
meri samajh mein aati hain
daraKHton ka sukut mujh se kalam karta hai
barish mere sath sath chalti hai
us ke ghar tak
ek saDak hai
saDak ke do-ruya
palm ke do paudhe hain
ek nariyal ka daraKHt
us ke ghar par jhuka hua hai
hawa ki baaten meri samajh mein aati hain
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 127)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.