Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa us se kahna

Mohsin Naqvi

hawa us se kahna

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    havā

    sub.h-dam us āhista āhista khultī huī aañkh se

    ḳhvāb sīpiyāñ chunñe jaa.e to kahnā

    ki ham jāgte haiñ

    havā us se kahnā

    ki jo hijr aag piitī rutoñ tanābeñ

    ragoñ se ulajhtī huī saañs ke saath kas deñ

    unheñ raat ke surma.ī haath ḳhairāt meñ niiñd kab de sake haiñ

    havā us ke baazū pe likkhā huā koī ta.avīz bāñdhe to kahnā

    ki āvārgī oḌh kar saañs lete musāfir

    tujhe khojte khojte thak ga.e haiñ

    havā us se kahnā

    ki ham ne tujhe khojne sabhī ḳhvāhishoñ ko

    udāsī dīvār meñ chun diyā hai

    havā us se kahnā

    ki vahshī darindoñ bastī ko jaate hue rāstoñ par

    tire naqsh-e-pā dekh kar

    ham ne dil meñ tire naam ke har taraf

    ik siyah mātamī hāshiya bun diyā hai

    havā us se kahnā

    havā kuchh na kahnā

    havā kuchh na kahnā

    hawa

    subh-dam us ki aahista aahista khulti hui aankh se

    KHwab ki sipiyan chunne jae to kahna

    ki hum jagte hain

    hawa us se kahna

    ki jo hijr ki aag piti ruton ki tanaben

    ragon se ulajhti hui sans ke sath kas den

    unhen raat ke surmai hath KHairaat mein nind kab de sake hain

    hawa us ke bazu pe likkha hua koi tawiz bandhe to kahna

    ki aawargi oDh kar sans lete musafir

    tujhe khojte khojte thak gae hain

    hawa us se kahna

    ki hum ne tujhe khojne ki sabhi KHwahishon ko

    udasi ki diwar mein chun diya hai

    hawa us se kahna

    ki wahshi darindon ki basti ko jate hue raston par

    tere naqsh-e-pa dekh kar

    hum ne dil mein tere nam ke har taraf

    ek siyah matami hashiya bun diya hai

    hawa us se kahna

    hawa kuchh na kahna

    hawa kuchh na kahna

    Source:

    Kulliyat-e-mohsin (Pg. 676)

    • Author: Mohsin Naqvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Mavra Publishers
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now