Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazar karo mere tan se

Faiz Ahmad Faiz

hazar karo mere tan se

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    On Indo-Pak war of 1971

    saje to kaise saje qatl-e-ām mela

    kise lubhā.egā mere lahū vāvailā

    mire nazār badan meñ lahū kitnā hai

    charāġh ho koī raushan na koī jaam bhare

    na is se aag bhaḌke na us se pyaas bujhe

    mire figār badan meñ lahū kitnā hai

    magar vo zahr-e-halāhal bharā hai nas nas meñ

    jise bhī chhedo har ik buuñd qahr-e-af.ī hai

    har ik kashīd hai sadiyoñ ke dard o hasrat

    har ik meñ mohr-ba-lab ġhaiz o ġham garmī hai

    hazar karo mire tan se ye sam dariyā hai

    hazar karo ki mirā tan vo chob-e-sahrā hai

    jise jalāo to sehn-e-chaman meñ dahkeñge

    bajā.e-sarv-o-saman merī haDDiyoñ ke babūl

    ise bikherā to dasht-o-daman meñ bikhregī

    bajā.e-mushk-e-sabā merī jān-e-zār dhuul

    hazar karo ki mirā dil lahū pyāsā hai

    saje to kaise saje qatl-e-am ka mela

    kise lubhaega mere lahu ka wawaila

    mere nazar badan mein lahu hi kitna hai

    charagh ho koi raushan na koi jam bhare

    na is se aag hi bhaDke na us se pyas bujhe

    mere figar badan mein lahu hi kitna hai

    magar wo zahr-e-halahal bhara hai nas nas mein

    jise bhi chhedo har ek bund qahr-e-afi hai

    har ek kashid hai sadiyon ke dard o hasrat ki

    har ek mein mohr-ba-lab ghaiz o gham ki garmi hai

    hazar karo mere tan se ye sam ka dariya hai

    hazar karo ki mera tan wo chob-e-sahra hai

    jise jalao to sehn-e-chaman mein dahkenge

    bajae-sarw-o-saman meri haDDiyon ke babul

    ise bikhera to dasht-o-daman mein bikhregi

    bajae-mushk-e-saba meri jaan-e-zar ki dhul

    hazar karo ki mera dil lahu ka pyasa hai

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 460)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now