Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hikayat-e-shab

Partav Rohila

hikayat-e-shab

Partav Rohila

MORE BYPartav Rohila

    chunāñche sar-e-shām ham sab kisī ḳhāndān-e-farañgī se bahr-e-mulāqāt nikle

    yahāñ merā ''ham sab'' se matlab hai vo dūsre ham-vatan aur paḌosī ki jo mulk-e-afrañg is baḌī

    jāmia meñ husūl-e-zar-e-ilm-o-dānish ko aa.e hue the

    ''kisī'' se ye matlab hai ham ko ḳhabar tak nahīñ thī ki ham sab kahāñ rahe haiñ

    kahāñ kis ko kis shaḳhs mezbānī milegī

    bahar-hāl ye tā.ifa ajnabī mehmānoñ ik darmiyāne se ghar mezbānoñ rahnumā.ī meñ pahuñchā

    vahāñ ham se pahle bhī kuchh log maujūd the

    rivāyāt-e-begānagī farañgī meñ basta

    tanāboñ meñ barfīle ThiThure hue yaḳh-zada mausamoñ meñ muqayyad

    magar jin ke chehroñ pe un ma.īshat ke rasmī shagūfe khile the

    ta.āruf ik muḳhtasar tez ThanDī gardān

    so āḳhirī naam ke āḳhirī harf Dūbtī chand lahreñ

    so āḳhirī haath ke khurdure chand reze

    mire hāfize meñ to kuchh bhī nahīñ rah gayā thā

    chunāñche ta.āruf ke sañgīn farshoñ ko ik baar phir se kuredā to dekhā

    sat.h saḳht thī aur nāḳhun baḌe narm the

    is asnā meñ ik ḳhānam mezbān donoñ hāthoñ meñ sainī uThā.e

    nabīd-e-musaffā o gul-rañg ke kuchh bilorīñ piyāle sajā.e

    ba-sad-nāz-o-andāz aa.iiñ

    abhī is nabīd-e-musaffā ke do chaar chakkar hue the

    ki bosīda rasmoñ ūñchī fasleñ

    ta.assub ke tārīk zindāñ

    takalluf chiknī muñDereñ

    tasanno pur-ḳhār bāḌheñ

    sarāsar ye sab gir ga.iiñ aur ajnabī ham-vatan ban ga.e

    chunanche sar-e-sham hum sab kisi KHandan-e-farangi se bahr-e-mulaqat nikle

    yahan mera ham sab se matlab hai wo dusre ham-watan aur paDosi ki jo mulk-e-afrang ki is baDi

    jamia mein husul-e-zar-e-ilm-o-danish ko aae hue the

    kisi se ye matlab hai hum ko KHabar tak nahin thi ki hum sab kahan ja rahe hain

    kahan kis ko kis shaKHs ki mezbani milegi

    bahar-haal ye taifa ajnabi mehmanon ka ek darmiyane se ghar mezbanon hi ki rahnumai mein pahuncha

    wahan hum se pahle bhi kuchh log maujud the

    riwayat-e-beganagi farangi mein basta

    tanabon mein barfile ThiThure hue yaKH-zada mausamon mein muqayyad

    magar jin ke chehron pe un ki maishat ke rasmi shagufe khile the

    taaruf ki ek muKHtasar tez ThanDi si gardan

    so aaKHiri nam ke aaKHiri harf ki Dubti chand lahren

    so aaKHiri hath ke khurdure chand reze

    mere hafize mein to kuchh bhi nahin rah gaya tha

    chunanche taaruf ke sangin farshon ko ek bar phir se kureda to dekha

    sath saKHt thi aur naKHun baDe narm the

    is asna mein ek KHanam mezban donon hathon mein saini uThae

    nabid-e-musaffa o gul-rang ke kuchh bilorin piyale sajae

    ba-sad-naz-o-andaz aain

    abhi is nabid-e-musaffa ke do chaar chakkar hue the

    ki bosida rasmon ki unchi faslen

    tassub ke tarik zindan

    takalluf ki chikni munDeren

    tasanno ki pur-KHar baDhen

    sarasar ye sab gir gain aur ajnabi ham-watan ban gae

    Source:

    naquush (Pg. 245)

      • Edition: 1979
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now