Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hikmat ka but-KHana

Bebak  Bhojpuri

hikmat ka but-KHana

Bebak Bhojpuri

MORE BYBebak Bhojpuri

    sharāb-e-shor se labrez hai duniyā paimāna

    harīf-e-dīn-o-dānish hai mazāq-e-pīr-e-mai-ḳhāna

    bashar iblīs ko tazvīr-e-nau dars detā hai

    muzayyan hai gunāh-e-gūnāgūñ se har parī-ḳhāna

    ulūm-e-nau se raushan bazm hai tahzīb-e-hāzir

    yad-e-tajdīd ne Dhālā hai dil-āvez but-ḳhāna

    ye maanā maġhribī ta.alīm ne parvāz baḳhshī hai

    ye māh-o-ḳhur bhī ban jā.eñge ab qindīl shāna

    ḳhudā ke chāhne vaale abhī tak bhole-bhāle haiñ

    banā rakhā hai harz-e-jāñ sadā maazī afsāna

    gunāh-e-tāza taḳhlīq se iblīs qāsir hai

    dimāġh-e-fitna-jū par hai musallat zo.f-e-pīrāna

    bahut majbūr be-chāra hai ḳhud pīrāna-sālī se

    use ma.alūm kyā hai ma.asiyat taaza paimāna

    ḳhudā vaale ta.ajjub hai ki ma.asūm-o-muqaddas haiñ

    azāb-e-nau-ba-nau se hai murassā ā.ina-ḳhāna

    rah-e-tashkīk par raḳhsh-e-hunar paiham ḳhirāmāñ hai

    bahut mushkil hai fitrat abhī tasḳhīr farmānā

    musāvāt-e-nazar muddatoñ se shor suntā huuñ

    fazā duniyā hai lekin abhī tak firqā-vārāna

    havas dars to yaaro bahut ḳhuub hai lekin

    abhī qur.ān tafhīm se aajiz hai farzāna

    butoñ toḌnā thā kār-e-āsāñ ahd-e-māzī meñ

    vale mushkil hai Dhānā aaj hikmat but-ḳhāna

    qulūb-e-asr-e-hāzir meñ abhī īmān Dhal jaa.e

    faqīroñ nahīñ dekhā hai ejāz-e-kalīmāna

    tafāḳhur ke marīzoñ ke liye iksīr hotī hai

    sarāsar banda-e-'bebāk' tarz-e-faqīrāna

    sharab-e-shor se labrez hai duniya ka paimana

    harif-e-din-o-danish hai mazaq-e-pir-e-mai-KHana

    bashar iblis ko tazwir-e-nau ka dars deta hai

    muzayyan hai gunah-e-gunagun se har pari-KHana

    ulum-e-nau se raushan bazm hai tahzib-e-hazir ki

    yad-e-tajdid ne Dhaala hai dil-awez but-KHana

    ye mana maghribi talim ne parwaz baKHshi hai

    ye mah-o-KHur bhi ban jaenge ab qindil ka shana

    KHuda ke chahne wale abhi tak bhole-bhaale hain

    bana rakha hai harz-e-jaan sada mazi ka afsana

    gunah-e-taza ki taKHliq se iblis qasir hai

    dimagh-e-fitna-ju par hai musallat zof-e-pirana

    bahut majbur be-chaara hai KHud pirana-sali se

    use malum kya hai masiyat ka taza paimana

    KHuda wale tajjub hai ki masum-o-muqaddas hain

    azab-e-nau-ba-nau se hai murassa aaina-KHana

    rah-e-tashkik par raKHsh-e-hunar paiham KHiraman hai

    bahut mushkil hai fitrat ka abhi tasKHir farmana

    musawat-e-nazar ka muddaton se shor sunta hun

    faza duniya ki hai lekin abhi tak firqa-warana

    hawas ka dars to yaro bahut hi KHub hai lekin

    abhi quran ki tafhim se aajiz hai farzana

    buton ka toDna tha kar-e-asan ahd-e-mazi mein

    wale mushkil hai Dhana aaj ki hikmat ka but-KHana

    qulub-e-asr-e-hazir mein abhi iman Dhal jae

    faqiron ka nahin dekha hai ejaz-e-kalimana

    tafaKHur ke marizon ke liye iksir hoti hai

    sarasar banda-e-'bebak' ki tarz-e-faqirana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now