Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hilal-e-mah-e-ramzan dekh kar

Mukhtasar Azmi

hilal-e-mah-e-ramzan dekh kar

Mukhtasar Azmi

MORE BYMukhtasar Azmi

    māh-e-rahmat ḳhabar kis ke liye laayā hai

    kaun terā muntazir thā kis liye aayā hai

    dekhne hoñge ye din ne kabhī sochā na thā

    dekh vo manzar jo is se peshtar dekhā na thā

    ab kisī ko ātish-e-dozaḳh koī Dar nahīñ

    bārish-e-rahmat meñ bhī dāman kisī tar nahīñ

    jab ḳhudā Dar nahīñ to fikr-e-uqbā kyuuñ rahe

    fāriġh-ul-bālī meñ koī bhūkā pyāsā kyuuñ rahe

    dekh le is daur meñ haiñ aise roze-dār bhī

    khāte haiñ hotel meñ din bhar karte haiñ iftār bhī

    mah-e-rahmat ki KHabar kis ke liye laya hai tu

    kaun tera muntazir tha kis liye aaya hai tu

    dekhne honge ye din tu ne kabhi socha na tha

    dekh wo manzar jo is se peshtar dekha na tha

    ab kisi ko aatish-e-dozaKH ka koi Dar nahin

    barish-e-rahmat mein bhi daman kisi ka tar nahin

    jab KHuda ka Dar nahin to fikr-e-uqba kyun rahe

    farigh-ul-baali mein koi bhuka pyasa kyun rahe

    dekh le is daur mein hain aise roze-dar bhi

    khate hain hotel mein din bhar karte hain iftar bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now