Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hina-rang hathon mein

Arman Najmi

hina-rang hathon mein

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    to kyā

    zindagī ne tumheñ vo sabhī kuchh diyā

    jis tum ārzū-mand thiiñ

    ki merī tarah

    tamannā ke kashkol ḳhālī rahe

    aur baḳhshish lamha

    tumheñ aur nādār kar ke guzar bhī gayā

    mujhe ye batāyā gayā hai

    tumhārī umīdoñ shādāb fasloñ pe

    jab sañg-bārī huī

    to TuuTe hue ḳhvāb kirchiyāñ

    apne ehsās saarī vīrāniyoñ meñ chhupā kar bhī

    tum ne ye zāhir kiyā

    jaise tumhāre qadam zamīñ par nahīñ paḌ rahe hoñ

    jaise tum āsmānoñ meñ parvāz kartī rahī ho

    garche aatī jaatī huī ek ik saañs meñ

    koī āvāz tum se ye kahtī rahī

    ''hinā-rañg hāthoñ meñ jhūTe nagīne

    tumhārī kaḌī sādhnā sila to nahīñ

    jis ke qadmoñ meñ tum

    apne sajdoñ ke motī luTātī ho

    vo

    tumhārī parastish ke laa.eq ḳhudā to nahīñ''

    to ab tum pe zāhir huaa!

    ḳhvāb ta.abīr ke rañg meñ jagmagāte nahīñ

    sarāboñ sūrat meñ ādarsh

    jo haath aate nahīñ

    maiñ to ye chāhtā thā

    ki har moḌ par

    tum ko lā-hāsilī ke pareshān-kun tajrabe

    se bachā kar rakhūñ

    magar merī kamzor chāhat

    tumheñ ibtidā-e-safar meñ

    shikastoñ se do-chār hote hue

    dekhtī rah ga.ī

    aur kuchh kar na paa.ī

    ab?

    kisī samt bhī jaao

    kāñToñ bharī raah se guzarnā paḌegā

    apne ādarsh rif.atoñ se

    utarne ḳhātir

    ruuh par jabr karnā paḌegā

    aur agar tum ne

    jhūTī masarrat rañgīñ labāda pahan bhī liyā

    to apne pindār sāmnā kis tarah kar sakogī?

    to kya

    zindagi ne tumhein wo sabhi kuchh diya

    jis ki tum aarzu-mand thin

    ki meri tarah

    tamanna ke kashkol KHali rahe

    aur baKHshish ka lamha

    tumhein aur nadar kar ke guzar bhi gaya

    mujhe ye bataya gaya hai

    tumhaari umidon ki shadab faslon pe

    jab sang-bari hui

    to TuTe hue KHwab ki kirchiyan

    apne ehsas ki sari viraniyon mein chhupa kar bhi

    tum ne ye zahir kiya

    jaise tumhaare qadam zamin par nahin paD rahe hon

    jaise tum aasmanon mein parwaz karti rahi ho

    garche aati jati hui ek ek sans mein

    koi aawaz tum se ye kahti rahi

    hina-rang hathon mein jhuTe nagine

    tumhaari kaDi sadhna ka sila to nahin

    jis ke qadmon mein tum

    apne sajdon ke moti luTati ho

    wo

    tumhaari parastish ke laeq KHuda to nahin

    to ab tum pe zahir hua!

    KHwab tabir ke rang mein jagmagate nahin

    sarabon ki surat mein aadarsh

    jo hath aate nahin

    main to ye chahta tha

    ki har moD par

    tum ko la-hasili ke pareshan-kun tajrabe

    se bacha kar rakhun

    magar meri kamzor chahat

    tumhein ibtida-e-safar mein

    shikaston se do-chaar hote hue

    dekhti rah gai

    aur kuchh kar na pai

    ab?

    kisi samt bhi jao

    kanTon bhari rah se hi guzarna paDega

    apne aadarsh ki rifaton se

    utarne ki KHatir

    ruh par jabr karna paDega

    aur agar tum ne

    jhuTi masarrat ka rangin labaada pahan bhi liya

    to apne pindar ka samna kis tarah kar sakogi?

    Source:

    siip-volume-46 (Pg. 159)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now