Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hindu muslim ittihad

Nisar Kubra Azimabadi

hindu muslim ittihad

Nisar Kubra Azimabadi

MORE BYNisar Kubra Azimabadi

    hind hindostān vaalo tum ai hindū musalmāno

    tumhī aapas ke kul jhagḌoñ ko be-khaTke miTā sakte

    haiñ donoñ bulbul-e-shaidā hai donoñ gulistāñ ye

    na tum bhī chhoḌ sakte ho na vo bhī yaañ se sakte

    to phir kyā fā.eda hai tum ko har-dam yuuñ jhagaḌne meñ

    agar mil-jul ke aapas meñ ho kul bigḌī banā sakte

    tumhāre kaam vo aa.eñ tum un saath do har-dam

    kudūrat dil us sūrat se donoñ ho miTā sakte

    ujaḌte dekh kar is taur se ḳhāmosh rahnā kyā

    jo is ujḌī huī bastī ko ulfat se basā sakte

    jo tum chāho to is dhuum ik aalam meñ mach jaa.e

    yahī haiñ vo ki jo rūThe huoñ ko haiñ manā sakte

    vahī haiñ lā.eq-e-tahsīn 'kubrā' bāġhbānoñ meñ

    ki jo kum.hlā.ī kaliyoñ ko chaman haiñ khilā sakte

    hind hindostan walo tum ai hindu musalmano

    tumhi aapas ke kul jhagDon ko be-khaTke miTa sakte

    hain donon bulbul-e-shaida hai donon ka gulistan ye

    na tum bhi chhoD sakte ho na wo bhi yan se ja sakte

    to phir kya faeda hai tum ko har-dam yun jhagaDne mein

    agar mil-jul ke aapas mein ho kul bigDi bana sakte

    tumhaare kaam wo aaen tum un ka sath do har-dam

    kudurat dil ki us surat se donon ho miTa sakte

    ujaDte dekh kar is taur se KHamosh rahna kya

    jo is ujDi hui basti ko ulfat se basa sakte

    jo tum chaho to is ki dhum ek aalam mein mach jae

    yahi hain wo ki jo ruThe huon ko hain mana sakte

    wahi hain laeq-e-tahsin 'kubra' baghbanon mein

    ki jo kumhlai kaliyon ko chaman ki hain khila sakte

    Source:

    Khayalat-e-kubra (Pg. B-41 E-45)

    • Author: Nisar Kubra Azimabadi
      • Publisher: Qaumi Press, Patna
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now