Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hisab-e-kam-o-besh

Khan Hasnain Aqib

hisab-e-kam-o-besh

Khan Hasnain Aqib

MORE BYKhan Hasnain Aqib

    maiñ kitāb-e-ġham-e-hastī huuñ tahrīr koī

    uljhī uljhī ho pechīda tafsīr koī

    maiñ ki ik jabr-e-musalsal meñ pisā jaatā huuñ

    dhuñdlī dhuñdlī ibārat maiñ banā jaatā huuñ

    jabr aisā hai ki lamhoñ ḳhatā.eñ jaise

    ban ga.iiñ sadiyoñ vo saarī sazā.eñ jaise

    jabr had bhī muqarrar nahīñ merī ḳhātir

    ya.anī maiñ sāda-mizāj aur vo zālim shātir

    pūchhtā bhī nahīñ mujh se ki tirā sabr hai kyoñ

    aur vazāhat bhī nahīñ is ki ye jabr hai kyoñ

    pahle ḳhushbū mirī gum-gashta rāhoñ mile

    phir sazā jo bhī mile karda gunāhoñ mile

    maiñ vo tahrīr huuñ paḌhtā nahīñ jis ko koī

    aur paḌh le to samajhtā nahīñ jis ko koī

    rasm-e-ḳhat ajnabī jis vo ibārat huuñ maiñ

    jis buniyād hai ḳhasta vo imārat huuñ maiñ

    makḌiyoñ ne mire atrāf bune haiñ jaale

    ye haiñ jaale mire samjhe hue dekhe-bhāle

    chāñdnī merī hai aur na sitāre mere

    merī kashtī hai na dhāre na kināre mere

    mere māthe pe tabassum shikan bhī hogī

    us ke pīchhe ka.ī rishtoñ thakan bhī hogī

    maiñ pahuñch jā.ūñgā ik roz zamīñ ke nīche

    ḳhaak hogī phir is ḳhāk-nashīñ ke nīche

    gard jam jā.egī ik roz mirī turbat par

    phir to maiñ ro bhī na pā.ūñgā tirī harakat par

    zehn mā.ūf hai aur dil abhī shaq hai merā

    tujh pe ai umr-e-ravāñ thoḌā to haq hai merā

    ai mirī ruuh ke mālik ye muqaddar kar de

    maiñ ġham-e-zīst maarā mujhe patthar kar de

    hisāb-e-kam-o-besh aaj barābar kar de

    mirī ruuh mire jism se bāhar kar de

    main kitab-e-gham-e-hasti ki hun tahrir koi

    uljhi uljhi si ho pechida si tafsir koi

    main ki ek jabr-e-musalsal mein pisa jata hun

    dhundli dhundli si ibarat main bana jata hun

    jabr aisa hai ki lamhon ki KHataen jaise

    ban gain sadiyon ki wo sari sazaen jaise

    jabr ki had bhi muqarrar nahin meri KHatir

    yani main sada-mizaj aur wo zalim shatir

    puchhta bhi nahin mujh se ki tera sabr hai kyon

    aur wazahat bhi nahin is ki ki ye jabr hai kyon

    pahle KHushbu meri gum-gashta si rahon ki mile

    phir saza jo bhi mile karda gunahon ki mile

    main wo tahrir hun paDhta nahin jis ko koi

    aur paDh le to samajhta nahin jis ko koi

    rasm-e-KHat ajnabi jis ka wo ibarat hun main

    jis ki buniyaad hai KHasta wo imarat hun main

    makDiyon ne mere atraf bune hain jale

    ye hain jale mere samjhe hue dekhe-bhaale

    chandni meri hai aur na hi sitare mere

    meri kashti hai na dhaare na kinare mere

    mere mathe pe tabassum ki shikan bhi hogi

    us ke pichhe kai rishton ki thakan bhi hogi

    main pahunch jaunga ek roz zamin ke niche

    KHak hi hogi phir is KHak-nashin ke niche

    gard jam jaegi ek roz meri turbat par

    phir to main ro bhi na paunga teri harakat par

    zehn mauf hai aur dil abhi shaq hai mera

    tujh pe ai umr-e-rawan thoDa to haq hai mera

    ai meri ruh ke malik ye muqaddar kar de

    main gham-e-zist ka mara mujhe patthar kar de

    ya hisab-e-kam-o-besh aaj barabar kar de

    ya meri ruh mere jism se bahar kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now