aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

MORE BYSaghar Nizami

    fasl-e-bahār aa.ī hai holī ke ruup meñ

    sola-siñghār laa.ī hai holī ke ruup meñ

    rāheñ paTī huī haiñ abīr-o-gulāl se

    haq savārī aa.ī hai holī ke ruup meñ

    pichkāriyāñ liye hue devī nashāt

    har ghar meñ aaj aa.ī hai holī ke ruup meñ

    sindūr hai ik haat meñ ik haat meñ gulāl

    taqdīr muskurā.ī hai holī ke ruup meñ

    vo ham se mujtanib nahīñ holī ke naam par

    ham ne murād paa.ī hai holī ke ruup meñ

    holī ne un ko aur bhī dīvāna kar diyā

    dīvānoñ ban aa.ī hai holī ke ruup meñ

    rañgoñ lahr lahr meñ pichkāriyāñ liye

    qaus-e-quzah ḳhud aa.ī hai holī ke ruup meñ

    dekho jise vo ġharq hai rañg-o-surūr meñ

    ik maiñ nahīñ ḳhudā.ī hai holī ke ruup meñ

    'sāġhar' naved-e-dāvat-e-āb-o-havā liye

    bād-e-bahār aa.ī hai holī ke ruup meñ

    fasl-e-bahaar aai hai holi ke rup mein

    sola-singhaar lai hai holi ke rup mein

    rahen paTi hui hain abir-o-gulal se

    haq ki sawari aai hai holi ke rup mein

    pichkariyan liye hue dewi nashat ki

    har ghar mein aaj aai hai holi ke rup mein

    sindur hai ek hat mein ek hat mein gulal

    taqdir muskurai hai holi ke rup mein

    wo hum se mujtanib nahin holi ke nam par

    hum ne murad pai hai holi ke rup mein

    holi ne un ko aur bhi diwana kar diya

    diwanon ki ban aai hai holi ke rup mein

    rangon ki lahr lahr mein pichkariyan liye

    qaus-e-quzah KHud aai hai holi ke rup mein

    dekho jise wo gharq hai rang-o-surur mein

    ek main nahin KHudai hai holi ke rup mein

    'saghar' nawed-e-dawat-e-ab-o-hawa liye

    baad-e-bahaar aai hai holi ke rup mein

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now