Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

MORE BYBirj Lal Raana

    har ek phuul huā rañg-bār holī meñ

    har ek shāḳh hai sūrat-nigār holī meñ

    guloñ se mauj-e-shafaq rañg khelne aa.ī

    ajab hai arz-o-samā par bahār holī meñ

    vo surḳh-posh gulistāñ meñ rañg khelā hai

    gul-o-saman pe hai turfa nikhār holī meñ

    har ek chiiz se rañg-e-vafā Tapaktā hai

    shahīd-e-ishq hai yādgār holī meñ

    kuchh is tarah se huī gul pe shabnam-afshānī

    qabā-e-gul hai javāhar-nigār holī meñ

    jidhar nigāh uThī surḳhiyāñ nazar aa.iiñ

    har ek shai hai fasāna-nigār holī meñ

    hai kā.enāt meñ josh-e-numū jumbish se

    har ek zarre dil be-qarār holī meñ

    qadam ke nīche hai farsh-e-zamurradīñ 'ra.anā'

    hai sar pe sāya-e-abr-e-bahār holī meñ

    har ek phul hua rang-bar holi mein

    har ek shaKH hai surat-nigar holi mein

    gulon se mauj-e-shafaq rang khelne aai

    ajab hai arz-o-sama par bahaar holi mein

    wo surKH-posh gulistan mein rang khela hai

    gul-o-saman pe hai turfa nikhaar holi mein

    har ek chiz se rang-e-wafa Tapakta hai

    shahid-e-ishq ki hai yaadgar holi mein

    kuchh is tarah se hui gul pe shabnam-afshani

    qaba-e-gul hai jawahar-nigar holi mein

    jidhar nigah uThi surKHiyan nazar aain

    har ek shai hai fasana-nigar holi mein

    hai kaenat mein josh-e-numu ki jumbish se

    har ek zarre ka dil be-qarar holi mein

    qadam ke niche hai farsh-e-zamurradin 'rana'

    hai sar pe saya-e-abr-e-bahaar holi mein

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now