aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    milne tire rakhte haiñ ham dhyān idhar dekh

    bhātī hai bahut ham ko tirī aan idhar dekh

    ham chāhne vaale haiñ tire jaan idhar dekh

    holī hai sanam hans ke ik aan idhar dekh

    ai rañg-bhare nau-gul-e-ḳhandāñ idhar dekh

    ham dekhne terā ye jamāl is ghaḌī ai jaañ

    aa.e haiñ yahī karke ḳhayāl is ghaḌī ai jaañ

    dil meñ na rakh ham se malāl is ghaḌī ai jaañ

    mukhḌe pe tire dekh gulāl is ghaḌī ai jaañ

    holī bhī yahī kahtī hai ai jaan idhar dekh

    ab zard ye cherā jo tire sar pe jamā hai

    aur is pe ye turra jo zarī bhī dharā hai

    niimā bhī tirā rañg se kesar ke bharā hai

    poshāk pe terī gul-e-sad-barg fidā hai

    nargis tirī āñkhoñ pe hai qurbān idhar dekh

    holī tarab hai jo har ik meñ numūdār

    sunte haiñ kahīñ raag kahīñ mai se haiñ sarshār

    hai dil meñ hameñ to tirī nazroñ se sarokār

    pichkārī hamāre lagā na lagā yaar

    ham ko to faqat hai yahī armān idhar dekh

    hai dhuum se holī kahīñ shor kahīñ ġhul

    hotā nahīñ kuchh rañg chhiḌakne meñ ta.ammul

    daf bajte haiñ sab hañste haiñ aur dhuum hai bilkul

    holī ḳhushī meñ to na kar ham se taġhāful

    ai jaan hamārā bhī kahā maan idhar dekh

    hai diid har aan talab dil ko hamāre

    jiite haiñ faqat terī nigāhoñ ke sahāre

    haiñ yaañ jo khaḌe aan ke is shauq ke maare

    ham ek nigah ke tire mushtāq haiñ pyāre

    Tuk pyaar nazroñ se mirī jaan idhar dekh

    har chaar taraf holī dhūmeñ haiñ ahā

    dekho jidhar aatā hai nazar roz tamāshā

    har aan jhamaktā hai ajab aish charchā

    holī ko 'nazīr' ab khaḌā dekhe hai yaañ kyā

    mahbūb ye aayā are nādān idhar dekh

    milne ka tere rakhte hain hum dhyan idhar dekh

    bhati hai bahut hum ko teri aan idhar dekh

    hum chahne wale hain tere jaan idhar dekh

    holi hai sanam hans ke tu ek aan idhar dekh

    ai rang-bhare nau-gul-e-KHandan idhar dekh

    hum dekhne tera ye jamal is ghaDi ai jaan

    aae hain yahi karke KHayal is ghaDi ai jaan

    tu dil mein na rakh hum se malal is ghaDi ai jaan

    mukhDe pe tere dekh gulal is ghaDi ai jaan

    holi bhi yahi kahti hai ai jaan idhar dekh

    ab zard ye chera jo tere sar pe jama hai

    aur is pe ye turra jo zari ka bhi dhara hai

    nima bhi tera rang se kesar ke bhara hai

    poshak pe teri gul-e-sad-barg fida hai

    nargis teri aankhon pe hai qurban idhar dekh

    holi ki tarab hai jo har ek ja mein numudar

    sunte hain kahin rag kahin mai se hain sarshaar

    hai dil mein hamein to teri nazron se sarokar

    pichkari hamare tu laga ya na laga yar

    hum ko to faqat hai yahi arman idhar dekh

    hai dhum se holi ki kahin shor kahin ghul

    hota nahin kuchh rang chhiDakne mein tammul

    daf bajte hain sab hanste hain aur dhum hai bilkul

    holi ki KHushi mein to na kar hum se taghaful

    ai jaan hamara bhi kaha man idhar dekh

    hai did ki har aan talab dil ko hamare

    jite hain faqat teri nigahon ke sahaare

    hain yan jo khaDe aan ke is shauq ke mare

    hum ek nigah ke tere mushtaq hain pyare

    Tuk pyar ki nazron se meri jaan idhar dekh

    har chaar taraf holi ki dhumen hain aha ha

    dekho jidhar aata hai nazar roz tamasha

    har aan jhamakta hai ajab aish ka charcha

    holi ko 'nazir' ab tu khaDa dekhe hai yan kya

    mahbub ye aaya are nadan idhar dekh

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 549)

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now