Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hubb-e-qaumi

Chakbast Brij Narayan

hubb-e-qaumi

Chakbast Brij Narayan

MORE BYChakbast Brij Narayan

    hubb-e-qaumī zabāñ par in dinoñ afsāna hai

    bāda-e-ulfat se pur dil mire paimāna hai

    jis jagah dekho mohabbat vahāñ afsāna hai

    ishq meñ apne vatan ke har bashar dīvāna hai

    jab ki ye āġhāz hai anjām kyā pūchhnā

    bāda-e-ulfat ye to pahlā paimāna hai

    hai jo raushan bazm meñ qaumī taraqqī charāġh

    dil fidā har ik us par sūrat-e-parvāna hai

    mujh se is hamdardī-o-ulfat kyā hove bayāñ

    jo hai vo qaumī taraqqī ke liye dīvāna hai

    lutf yaktā.ī meñ jo hai vo duī meñ hai kahāñ

    bar-ḳhilāf is ke jo ho samjho ki vo dīvāna hai

    naḳhl-e-ulfat jin koshish se ugā hai qaum meñ

    qābil-e-tārīf un himmat-e-mardāna hai

    hai gul-e-maqsūd se pur gulshan-e-kashmīr aaj

    dushmanī nā-ittifāqī sabza-e-begāna hai

    dur-fishāñ hai har zabāñ hubb-e-vatan ke vasf meñ

    josh-zan har samt bahr-e-himmat-e-mardāna hai

    ye mohabbat fazā qaa.em huī hai aap se

    aap lāzim tah-e-dil se hameñ shukrāna hai

    har bashar ko hai bharosā aap imdād par

    aap hamdardiyoñ duur duur afsāna hai

    jam.a haiñ qaumī taraqqī ke liye arbāb-e-qaum

    rashk-e-firdaus un ke qadmoñ se ye shādī-ḳhāna hai

    hubb-e-qaumi ka zaban par in dinon afsana hai

    baada-e-ulfat se pur dil ka mere paimana hai

    jis jagah dekho mohabbat ka wahan afsana hai

    ishq mein apne watan ke har bashar diwana hai

    jab ki ye aaghaz hai anjam ka kya puchhna

    baada-e-ulfat ka ye to pahla hi paimana hai

    hai jo raushan bazm mein qaumi taraqqi ka charagh

    dil fida har ek ka us par surat-e-parwana hai

    mujh se is hamdardi-o-ulfat ka kya howe bayan

    jo hai wo qaumi taraqqi ke liye diwana hai

    lutf yaktai mein jo hai wo dui mein hai kahan

    bar-KHilaf is ke jo ho samjho ki wo diwana hai

    naKHl-e-ulfat jin ki koshish se uga hai qaum mein

    qabil-e-tarif un ki himmat-e-mardana hai

    hai gul-e-maqsud se pur gulshan-e-kashmir aaj

    dushmani na-ittifaqi sabza-e-begana hai

    dur-fishan hai har zaban hubb-e-watan ke wasf mein

    josh-zan har samt bahr-e-himmat-e-mardana hai

    ye mohabbat ki faza qaem hui hai aap se

    aap ka lazim tah-e-dil se hamein shukrana hai

    har bashar ko hai bharosa aap ki imdad par

    aap ki hamdardiyon ka dur dur afsana hai

    jama hain qaumi taraqqi ke liye arbab-e-qaum

    rashk-e-firdaus un ke qadmon se ye shadi-KHana hai

    Source :
    • Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 308)
    • Author : Ali Jawad Zaidi
    • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
    • Edition : 1998

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now