Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hubb-e-watan

Mohammad Husain Azad

hubb-e-watan

Mohammad Husain Azad

MORE BYMohammad Husain Azad

    ai āftāb-e-hubb-e-vatan kidhar hai aaj

    hai kidhar ki kuchh nahīñ aatā nazar hai aaj

    tujh bin jahāñ hai āñkhoñ meñ andher ho rahā

    aur intizām-e-dil hai zabar zer ho rahā

    ThanDe haiñ kyuuñ diloñ meñ tire josh ho ga.e

    kyuuñ sab tire charāġh haiñ ḳhāmosh ho ga.e

    hubb-e-vatan jins hai qaht-sāl kyuuñ

    hairāñ huuñ āj-kal hai paḌā us kaal kyuuñ

    kuchh ho gayā zamāna ulTā chalan yahāñ

    hubb-e-vatan ke badle hai buġhz-e-vatan yahāñ

    bin tere mulk-e-hind ke ghar be-charāġh haiñ

    jalte evaz charāġhoñ ke sīnoñ meñ daaġh haiñ

    kab tak shab-e-siyāh meñ aalam tabāh ho

    ai āftāb idhar bhī karam nigāh ho

    aalam se ki tīra-dilī duur ho tamām

    aur hind tere nuur se ma.amūr ho mudām

    ulfat se garm sab ke dil-e-sard hoñ baham

    aur jo ki ham-vatan hoñ vo hamdard hoñ baham

    ho vatan meñ apne zar-o-māl vafūr

    aur mumlikat meñ daulat-o-iqbāl vafūr

    sab apne hākimoñ ke liye jāñ-nisār huuñ

    aur gardan-e-harīf pe ḳhanjar dhaar hoñ

    ilm-o-hunar se ḳhalq ko raunaq diyā kareñ

    aur anjuman meñ baiTh ke jalse kiyā kareñ

    labrez-e-josh-e-hubb-e-vatan sab ke jaam hoñ

    sarshār-e-zauq-o-shauq dil-e-ḳhās-o-ām hoñ

    ai aaftab-e-hubb-e-watan tu kidhar hai aaj

    tu hai kidhar ki kuchh nahin aata nazar hai aaj

    tujh bin jahan hai aankhon mein andher ho raha

    aur intizam-e-dil hai zabar zer ho raha

    ThanDe hain kyun dilon mein tere josh ho gae

    kyun sab tere charagh hain KHamosh ho gae

    hubb-e-watan ki jins ka hai qaht-sal kyun

    hairan hun aaj-kal hai paDa us ka kal kyun

    kuchh ho gaya zamana ka ulTa chalan yahan

    hubb-e-watan ke badle hai bughz-e-watan yahan

    bin tere mulk-e-hind ke ghar be-charagh hain

    jalte ewaz charaghon ke sinon mein dagh hain

    kab tak shab-e-siyah mein aalam tabah ho

    ai aaftab idhar bhi karam ki nigah ho

    aalam se ta ki tira-dili dur ho tamam

    aur hind tere nur se mamur ho mudam

    ulfat se garm sab ke dil-e-sard hon baham

    aur jo ki ham-watan hon wo hamdard hon baham

    ta ho watan mein apne zar-o-mal ka wafur

    aur mumlikat mein daulat-o-iqbaal ka wafur

    sab apne hakimon ke liye jaan-nisar hun

    aur gardan-e-harif pe KHanjar ki dhaar hon

    ilm-o-hunar se KHalq ko raunaq diya karen

    aur anjuman mein baiTh ke jalse kiya karen

    labrez-e-josh-e-hubb-e-watan sab ke jam hon

    sarshaar-e-zauq-o-shauq dil-e-KHas-o-am hon

    Source:

    Nawa-e-Azadi (Pg. 79)

      • Edition: 1957
      • Publisher: Adabi Publishers, Mumbai
      • Year of Publication: 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now