Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hudud ka daera

Rashid Aazar

hudud ka daera

Rashid Aazar

MORE BYRashid Aazar

    shajar hajar huuñ ki insāñ huuñ sitāre huuñ

    sabhī hudūd ke ik dā.ere meñ rahte haiñ

    ye kā.enāt zamān o makāñ qaid meñ hai

    har ek shai hai uruuj o zavāl pāband

    har ek manzil-e-āḳhir hai manzil-e-avval

    jahāñ se ik na.ī manzil justujū meñ sabhī

    haqīqatoñ ko taḳhayyul rañg dete haiñ

    safar meñ ruk nahīñ sakte qadam musāfir ke

    zamīñ bhī ghūmtī hai rāste bhī chalte haiñ

    har ik ufuq pe zamīñ āsmāñ se miltī hai

    ghaḌī chale na chale vaqt to guzartā hai

    shajar hajar hun ki insan hun ya sitare hun

    sabhi hudud ke ek daere mein rahte hain

    ye kaenat zaman o makan ki qaid mein hai

    har ek shai hai uruj o zawal ki paband

    har ek manzil-e-aKHir hai manzil-e-awwal

    jahan se ek nai manzil ki justuju mein sabhi

    haqiqaton ko taKHayyul ka rang dete hain

    safar mein ruk nahin sakte qadam musafir ke

    zamin bhi ghumti hai raste bhi chalte hain

    har ek ufuq pe zamin aasman se milti hai

    ghaDi chale na chale waqt to guzarta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hudud ka daera Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now