Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn aur maut

Faiz Ahmad Faiz

husn aur maut

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    jo phuul saare gulistāñ meñ sab se achchhā ho

    faroġh-e-nūr ho jis se fazā-e-rañgīñ meñ

    ḳhizāñ ke jaur-o-sitam ko na jis ne dekhā ho

    bahār ne jise ḳhūn-e-jigar se paalā ho

    vo ek phuul samātā hai chashm-e-gulchīñ meñ

    hazār phūloñ se ābād bāġh-e-hastī hai

    ajal aañkh faqat ek ko tarastī hai

    ka.ī diloñ umīdoñ jo sahārā ho

    fazā-e-dahr ālūdgī se baalā ho

    jahāñ meñ aa ke abhī jis ne kuchh na dekhā ho

    na qaht-e-aish-o-masarrat na, ġham arzānī

    kanār-e-rahmat-e-haq meñ use sulātī hai

    sukūt-e-shab meñ farishtoñ marsiya-ḳhvānī

    tavāf karne ko sub.h-e-bahār aatī hai

    sabā chaḌhāne ko jannat ke phuul laatī hai

    jo phul sare gulistan mein sab se achchha ho

    farogh-e-nur ho jis se faza-e-rangin mein

    KHizan ke jaur-o-sitam ko na jis ne dekha ho

    bahaar ne jise KHun-e-jigar se pala ho

    wo ek phul samata hai chashm-e-gulchin mein

    hazar phulon se aabaad bagh-e-hasti hai

    ajal ki aankh faqat ek ko tarasti hai

    kai dilon ki umidon ka jo sahaara ho

    faza-e-dahr ki aaludgi se baala ho

    jahan mein aa ke abhi jis ne kuchh na dekha ho

    na qaht-e-aish-o-masarrat na, gham ki arzani

    kanar-e-rahmat-e-haq mein use sulati hai

    sukut-e-shab mein farishton ki marsiya-KHwani

    tawaf karne ko subh-e-bahaar aati hai

    saba chaDhane ko jannat ke phul lati hai

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 42)
    • Publication : Educational Publishing House (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now