Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-ashob

Ibn e Insha

dil-ashob

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    yuuñ kahne ko rāheñ mulk-e-vafā ujaal gayā

    ik dhund milī jis raah meñ paik-e-ḳhayāl gayā

    phir chāñd hameñ kisī raat god meñ Daal gayā

    ham shahr meñ Thahreñ, aisā to rog nahīñ

    aur ban bhī haiñ suune un meñ bhī ham se log nahīñ

    aur kūche ko tere lauTne to savāl gayā

    tire lutf-o-atā dhuum sahī mahfil mahfil

    ik shaḳhs thā inshā nām-e-mohabbat meñ kāmil

    ye shaḳhs yahāñ pāmāl rahā, pāmāl gayā

    tirī chaah meñ dekhā ham ne ba-hāl-e-ḳharāb ise

    par ishq o vafā ke yaad rahe ādāb ise

    tirā naam o maqām jo pūchhā, hañs kar Taal gayā

    ik saal gayā, ik saal nayā hai aane ko

    par vaqt bhī ab hosh nahīñ dīvāne ko

    dil haath se is ke vahshī hiran misāl gayā

    ham ahl-e-vafā ranjūr sahī, majbūr nahīñ

    aur shahr-e-vafā se dasht-e-junūñ kuchh duur nahīñ

    ham ḳhush na sahī, par tere sar vabāl gayā

    ab husn ke gaḌ.h aur shahr-panāheñ suunī haiñ

    vo jo āshnā the un sab nigāheñ suunī haiñ

    par jo gayā har baat se malāl gayā

    yun kahne ko rahen mulk-e-wafa ki ujal gaya

    ek dhund mili jis rah mein paik-e-KHayal gaya

    phir chand hamein kisi raat ki god mein Dal gaya

    hum shahr mein Thahren, aisa to ji ka rog nahin

    aur ban bhi hain sune un mein bhi hum se log nahin

    aur kuche ko tere lauTne ka to sawal gaya

    tere lutf-o-ata ki dhum sahi mahfil mahfil

    ek shaKHs tha insha nam-e-mohabbat mein kaamil

    ye shaKHs yahan pamal raha, pamal gaya

    teri chah mein dekha hum ne ba-haal-e-KHarab ise

    par ishq o wafa ke yaad rahe aadab ise

    tera nam o maqam jo puchha, hans kar Tal gaya

    ek sal gaya, ek sal naya hai aane ko

    par waqt ki bhi ab hosh nahin diwane ko

    dil hath se is ke wahshi hiran ki misal gaya

    hum ahl-e-wafa ranjur sahi, majbur nahin

    aur shahr-e-wafa se dasht-e-junun kuchh dur nahin

    hum KHush na sahi, par tere sar ka wabaal gaya

    ab husn ke gaDh aur shahr-panahen suni hain

    wo jo aashna the un sab ki nigahen suni hain

    par tu jo gaya har baat ka ji se malal gaya

    Source:

    Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 91)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now