Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ibn-e-maryam

Kaifi Azmi

ibn-e-maryam

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    tum ḳhudā ho

    ḳhudā ke beTe ho

    faqat amn ke payambar ho

    kisī hasīñ taḳhayyul ho

    jo bhī ho mujh ko achchhe lagte ho

    mujh ko sachche lagte ho

    us sitāre meñ jis meñ sadiyoñ ke

    jhuuT aur kizb añdherā hai

    us sitāre meñ jis ko har ruḳh se

    reñgtī sarhadoñ ne gherā hai

    us sitāre meñ jis ābādī

    amn botī hai jañg kāTtī hai

    raat piitī hai nuur mukhḌoñ

    sub.h sīnoñ ḳhuun chāTtī hai

    tum na hote to jaane kyā hotā

    tum na hote to us sitāre meñ

    devtā rākshash ġhulām imaam

    pārsā riñd rāhbar rahzan

    barhaman shaiḳh pādrī, bhikshū

    sabhī hote magar hamāre liye

    kaun chaḌhtā ḳhushī se suulī par

    jhoñpaḌoñ meñ ghirā ye vīrāna

    machhliyāñ din meñ sūkhtī haiñ jahāñ

    billiyāñ duur baiThī rahtī haiñ

    aur ḳhārish-zada se kuchh kutte

    leTe rahte haiñ be-niyāzāna

    dum maroḌe ki koī sar kuchle

    kāTnā kyā vo bhūñkte bhī nahīñ

    aur jab vo dahaktā añgāra

    chhan se sāgar meñ Duub jaatā hai

    tīrgī oḌh letī hai duniyā

    kashtiyāñ kuchh kināre aatī haiñ

    bhañg gāñgā, charas sharāb, afyūn

    jo bhī laa.eñ jahāñ se bhī laa.eñ

    dauḌte haiñ idhar se kuchh saa.e

    aur sab kuchh utaar laate haiñ

    gaaḌī jaatī hai adl mīzān

    jis hissa usī ko miltā hai

    yahāñ ḳhatra nahīñ ḳhayānat

    tum yahāñ kyuuñ khaḌe ho muddat se

    ye tumhārī thakī thakī bheḌeñ

    raat jin ko zamīñ ke siine par

    sub.h hote uñDel detī hai

    manDiyoñ, daftaroñ miloñ taraf

    haañk detī dhakel detī hai

    rāste meñ ye ruk nahīñ saktīñ

    toḌ ke ghuTne jhuk nahīñ saktīñ

    un se tum kyā tavaqqo.a rakhte ho

    bheḌiyā un ke saath chaltā hai

    takte rahte ho us saḌak taraf

    dafn jin meñ ka.ī kahāniyāñ haiñ

    dafn jin meñ ka.ī javāniyāñ haiñ

    jis pe ik saath bhāgī phirtī haiñ

    ḳhālī jebeñ bhī aur tijoriyāñ bhī

    jaane kis hai intizār tumheñ

    mujh ko dekho ki maiñ vahī to huuñ

    jis ko kūḌoñ chhāñv meñ duniyā

    bechtī bhī ḳharīdtī bhī thī

    mujh ko dekho ki maiñ vahī to huuñ

    jis ko khetoñ se aise bāñdhā thā

    jaise maiñ un ek hissa thā

    khet bikte to maiñ bhī biktā thā

    mujh ko dekho ki maiñ vahī to huuñ

    kuchh mashīneñ banā.īñ jab maiñ ne

    un mashīnoñ ke mālikoñ ne mujhe

    be-jhijak un meñ aise jhoñk diyā

    jaise maiñ kuchh nahīñ huuñ īñdhan huuñ

    mujh ko dekho ki maiñ thakā-hārā

    phir rahā huuñ jugoñ se āvāra

    tum yahāñ se haTo to aaj raat

    so rahūñ maiñ isī chabūtre par

    tum yahāñ se haTo ḳhudā ke liye

    jaao vo vietnam ke jañgal

    us ke maslūb shahr zaḳhmī gaañv

    jin ko injīl paḌhne vāloñ ne

    rauñd Daalā hai phūñk Daalā hai

    jaane kab se pukārte haiñ tumheñ

    jaao ik baar phir hamāre liye

    tum ko chaḌhnā paḌegā suulī par

    tum KHuda ho

    KHuda ke beTe ho

    ya faqat amn ke payambar ho

    ya kisi ka hasin taKHayyul ho

    jo bhi ho mujh ko achchhe lagte ho

    mujh ko sachche lagte ho

    us sitare mein jis mein sadiyon ke

    jhuT aur kizb ka andhera hai

    us sitare mein jis ko har ruKH se

    rengti sarhadon ne ghera hai

    us sitare mein jis ki aabaadi

    amn boti hai jang kaTti hai

    raat piti hai nur mukhDon ka

    subh sinon ka KHun chaTti hai

    tum na hote to jaane kya hota

    tum na hote to us sitare mein

    dewta rakshash ghulam imam

    parsa rind rahbar rahzan

    barhaman shaiKH padri, bhikshu

    sabhi hote magar hamare liye

    kaun chaDhta KHushi se suli par

    jhonpaDon mein ghira ye virana

    machhliyan din mein sukhti hain jahan

    billiyan dur baiThi rahti hain

    aur KHarish-zada se kuchh kutte

    leTe rahte hain be-niyazana

    dum maroDe ki koi sar kuchle

    kaTna kya wo bhunkte bhi nahin

    aur jab wo dahakta angara

    chhan se sagar mein Dub jata hai

    tirgi oDh leti hai duniya

    kashtiyan kuchh kinare aati hain

    bhang ganga, charas sharab, afyun

    jo bhi laen jahan se bhi laen

    dauDte hain idhar se kuchh sae

    aur sab kuchh utar late hain

    gaDi jati hai adl ki mizan

    jis ka hissa usi ko milta hai

    yahan KHatra nahin KHayanat ka

    tum yahan kyun khaDe ho muddat se

    ye tumhaari thaki thaki bheDen

    raat jin ko zamin ke sine par

    subh hote unDel deti hai

    manDiyon, daftaron milon ki taraf

    hank deti dhakel deti hai

    raste mein ye ruk nahin saktin

    toD ke ghuTne jhuk nahin saktin

    un se tum kya tawaqqoa rakhte ho

    bheDiya un ke sath chalta hai

    takte rahte ho us saDak ki taraf

    dafn jin mein kai kahaniyan hain

    dafn jin mein kai jawaniyan hain

    jis pe ek sath bhagi phirti hain

    KHali jeben bhi aur tijoriyan bhi

    jaane kis ka hai intizar tumhein

    mujh ko dekho ki main wahi to hun

    jis ko kuDon ki chhanw mein duniya

    bechti bhi KHaridti bhi thi

    mujh ko dekho ki main wahi to hun

    jis ko kheton se aise bandha tha

    jaise main un ka ek hissa tha

    khet bikte to main bhi bikta tha

    mujh ko dekho ki main wahi to hun

    kuchh mashinen banain jab main ne

    un mashinon ke malikon ne mujhe

    be-jhijak un mein aise jhonk diya

    jaise main kuchh nahin hun indhan hun

    mujh ko dekho ki main thaka-haara

    phir raha hun jugon se aawara

    tum yahan se haTo to aaj ki raat

    so rahun main isi chabutre par

    tum yahan se haTo KHuda ke liye

    jao wo wietnam ke jangal

    us ke maslub shahr zaKHmi ganw

    jin ko injil paDhne walon ne

    raund Dala hai phunk Dala hai

    jaane kab se pukarte hain tumhein

    jao ek bar phir hamare liye

    tum ko chaDhna paDega suli par

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Kaifi Azmi

    Kaifi Azmi

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 273)

    • Author: shamim hanfi and mazhar mahdi
      • Edition: 2005
      • Publisher: qaumi council bara-e-farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now