id ka mela
lo iid aa.ī lo do puliye maidān meñ bhar bāzār lagā
har chāhat kā sāmān huā har ne.amat kā ambār lagā
sab ujlā shahr umañD aayā shalvār sajā dastār lagā
is bhiiḌ ke biphre tūfāñ meñ jo Duub gayā so paar lagā
Tolī ke aage Tolā hai railī ke pīchhe relā hai
yaaro ye iid kā mela hai
markaz rañgīñ ra.anā.ī kā chiknā tambū halvā.ī kā
ziina ziina zīnat se dharā hai thaal pe thaal miThā.ī kā
gardan ūñchī ras-gulle kī sar nīchā hai bālā.ī kā
halvā.ī daam baTorne meñ sar muuñD rahā hai naa.ī kā
barfī imirtī peḌā hai cham cham laDDū gajrela hai
yaaro ye iid kā mela hai
dhuñdle tarpālī mañDve meñ nāTak nauTañkī aa.ī hai
naubat naqqārā sārañgī Dholak jhāñjan shahnā.ī hai
kal sola teddy paisoñ meñ kis dhuum kī raas rachā.ī hai
lailā ke laboñ par surḳhī hai majnūñ ke gale meñ tie hai
ye hañsne meñ man mojan hai vo gaane meñ albelā hai
yaaro ye iid kā mela hai
ik circus TeḌhā-meḌhā sā anjām to kyā āġhāz nahīñ
us rīchh ke muñh meñ daañt nahīñ is baaz kī āñkheñ baaz nahīñ
vo sher ki jis kī mūñchh to hai par jast nahīñ āvāz nahīñ
totā bhī ḳhair se gūñgā hai shāhīñ ko par-e-parvāz nahīñ
do bandar Tiin ke andar haiñ Darbe meñ murġh akelā hai
yaaro ye iid kā mela hai
pagDanDī jagmag manDī hai bāñsoñ par tambū taane haiñ
kuchh na.e navele hotel haiñ kuchh restaurant purāne haiñ
har Dhañg ke saste khāne haiñ har rañg ke filmī gaane haiñ
kuchh chalte phirte chhoTe chhoTe gashtī ne.amat-ḳhāne haiñ
tar halva garm kaḌāhī meñ do loTe haiñ ik Thela hai
yaaro ye iid kā mela hai
kyā kūcha-o-dar kyā koh-o-daman gul-barg haiñ sab gulnār haiñ sab
ḳhushbū meñ base gulzār haiñ sab rañgoñ se bhare bāzār haiñ sab
bachche to alhaḌ bachche haiñ būḌhe bhī sabā raftār haiñ sab
poshāk meñ chūḌī-dār haiñ aur aur ḳhurāk meñ murġhā-mār haiñ sab
har sū ḳhushiyoñ kā relā hai man mañglā dil tarbelā hai
yaaro ye iid kā mela hai
lo ik jī-dār bisātī ne har chiiz lagā dī chaar aane
kañghī jāpānī chaar aane shīsha baġhdādī chaar aane
patlī sī chhatrī ke nīche momī shahzādī chaar aane
har guḌiyā puḌiyā baajā khājā resham khādī chaar aane
bagule kī choñch meñ machhlī hai kele ke saath karailā hai
yaaro ye iid kā mela hai
bachche baale gabrū būḌhe ḳhush-vaqt hue ḳhush-hāl hue
jhūloñ meñ jhuul ke phuul bane fōtbāl bane bhauñchāl hue
barqī chakkar meñ chakrā kar chahke to ḳhushī se laal hue
ik dhuum dhaḌakkī phere meñ sab paise isti.māl hue
sundarī ke kaan meñ muñdrī hai shauhar kī jeb meñ dhelā hai
yaaro ye iid kā mela hai
lo id aai lo do puliye maidan mein bhar bazar laga
har chahat ka saman hua har neamat ka ambar laga
sab ujla shahr umanD aaya shalwar saja dastar laga
is bhiD ke biphre tufan mein jo Dub gaya so par laga
Toli ke aage Tola hai raili ke pichhe rela hai
yaro ye id ka mela hai
markaz rangin ranai ka chikna tambu halwai ka
zina zina zinat se dhara hai thaal pe thaal miThai ka
gardan unchi ras-gulle ki sar nicha hai baalai ka
halwai dam baTorne mein sar munD raha hai nai ka
barfi imirti peDa hai cham cham laDDu gajrela hai
yaro ye id ka mela hai
dhundle tarpali manDwe mein naTak nauTanki aai hai
naubat naqqara sarangi Dholak jhanjan shahnai hai
kal sola teddy paison mein kis dhum ki ras rachai hai
laila ke labon par surKHi hai majnun ke gale mein tie hai
ye hansne mein man mojan hai wo gane mein albela hai
yaro ye id ka mela hai
ek circus TeDha-meDha sa anjam to kya aaghaz nahin
us richh ke munh mein dant nahin is baz ki aankhen baz nahin
wo sher ki jis ki munchh to hai par jast nahin aawaz nahin
tota bhi KHair se gunga hai shahin ko par-e-parwaz nahin
do bandar Tin ke andar hain Darbe mein murgh akela hai
yaro ye id ka mela hai
pagDanDi jagmag manDi hai banson par tambu tane hain
kuchh nae nawele hotel hain kuchh restaurant purane hain
har Dhang ke saste khane hain har rang ke filmi gane hain
kuchh chalte phirte chhoTe chhoTe gashti neamat-KHane hain
tar halwa garm kaDahi mein do loTe hain ek Thela hai
yaro ye id ka mela hai
kya kucha-o-dar kya koh-o-daman gul-barg hain sab gulnar hain sab
KHushbu mein base gulzar hain sab rangon se bhare bazar hain sab
bachche to alhaD bachche hain buDhe bhi saba raftar hain sab
poshak mein chuDi-dar hain aur aur KHurak mein murgha-mar hain sab
har su KHushiyon ka rela hai man mangla dil tarbela hai
yaro ye id ka mela hai
lo ek ji-dar bisati ne har chiz laga di chaar aane
kanghi japani chaar aane shisha baghdadi chaar aane
patli si chhatri ke niche momi shahzadi chaar aane
har guDiya puDiya baja khaja resham khadi chaar aane
bagule ki chonch mein machhli hai kele ke sath karaila hai
yaro ye id ka mela hai
bachche baale gabru buDhe KHush-waqt hue KHush-haal hue
jhulon mein jhul ke phul bane footbaal bane bhaunchaal hue
barqi chakkar mein chakra kar chahke to KHushi se lal hue
ek dhum dhaDakki phere mein sab paise istimal hue
sundari ke kan mein mundri hai shauhar ki jeb mein dhela hai
yaro ye id ka mela hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.