Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek inam ke kitne nam hain

Akhtar Husain Jafri

ek inam ke kitne nam hain

Akhtar Husain Jafri

MORE BYAkhtar Husain Jafri

    ik pahchān ke kitne ism haiñ

    ik in.aam ke kitne naam haiñ

    terā naam vo bādal jis paiġhambar par dasht-e-jabal meñ saayā hai

    terā naam vo barkhā jis rim-jhim paanī

    vaadī meñ dariyā kahlā.e aur samundar bantā jaa.e

    terā naam vo sūraj jis sonā sab milkiyyat hai

    jis sikka mulkoñ mulkoñ jaarī hai

    terā naam vo harf jise imkān lauh par dekh ke maiñ ne

    pesh-o-pas se nuqta nuqta joḌ liyā hai

    ismoñ vaale harfoñ vaale nāmoñ vaale

    mujh ko bhī ik naam atā kar

    merī jholī mid.hat kartī būñdoñ kirnoñ chamkīle harfoñ se bhar de

    ek pahchan ke kitne ism hain

    ek inam ke kitne nam hain

    tera nam wo baadal jis ka paighambar par dasht-e-jabal mein saya hai

    tera nam wo barkha jis ka rim-jhim pani

    wadi mein dariya kahlae aur samundar banta jae

    tera nam wo suraj jis ka sona sab ki milkiyyat hai

    jis ka sikka mulkon mulkon jari hai

    tera nam wo harf jise imkan ki lauh par dekh ke main ne

    pesh-o-pas se nuqta nuqta joD liya hai

    ismon wale harfon wale namon wale

    mujh ko bhi ek nam ata kar

    meri jholi midhat karti bundon kirnon chamkile harfon se bhar de

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 86)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now