Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek paheli ek kahani

Anwar Abbas

ek paheli ek kahani

Anwar Abbas

MORE BYAnwar Abbas

    ghar meñ vo hairat aur hairānī laayā hai

    raat kahīñ ārām mazdūrī kar ke

    sub.h savere khānā-pānī laayā hai

    bech ke rūh-e-besh-bahā-e-nādārī

    jism ḳhātir kuchh āsānī laayā hai

    halkī ruḳh par laalī hai be-sharmī

    dāman par dāġh-e-uryānī laayā hai

    saath meñ biivī bachchoñ ke bahlāne ko

    ek pahelī ek kahānī laayā hai

    ghar mein wo hairat aur hairani laya hai

    raat kahin aaram ki mazduri kar ke

    subh sawere khana-pani laya hai

    bech ke ruh-e-besh-baha-e-nadari

    jism ki KHatir kuchh aasani laya hai

    halki si ruKH par lali hai be-sharmi ki

    daman par dagh-e-uryani laya hai

    sath mein biwi bachchon ke bahlane ko

    ek paheli ek kahani laya hai

    Source:

    Nazm-o-Razm (Pg. 47)

    • Author: Anwar Abbas
      • Publisher: Anjuman Fikr-o-Nazar, Allahabad
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now