Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek udhaar si zindagi

Haidar Ali Khan

ek udhaar si zindagi

Haidar Ali Khan

MORE BYHaidar Ali Khan

    tujh ko kho kar bachā kyā thā zindagī meñ khone ke liye

    bas ik udhār zindagī rahā thā

    terī yādoñ qarz liye

    muaaf karnā terī yādoñ ko ham yuuñ bulā lete haiñ jis se ki ye sāñseñ chal sakeñ

    shāyad bhuul ga.ī jo ik roz ne kahā thā ki jab zindagī vīrāniyoñ ke daur se guzarne lage

    to

    mujhe yaad kar lenā

    muaaf karnā aaj phir tujhe itnā yaad kiyā

    itnā terā naam liyā

    jitnā har pal har ghaḌī har-vaqt maiñ tujhe yaad kiyā kartā thā

    tujhe yaad hai na

    jab āsmān meñ koī taarā TūTtā thā to jaldī se āñkheñ band karke duā māñgtī thī aur mujhe bhī aisā karne ko kahtī thī

    par muaaf zarūr karnā aaj maiñ ne TūTte taare ko dekh kar koī duā nahīñ māñgī

    kyūñki aaj maiñ tanhā thā

    vahī khulā āsmān

    vahī chamakte sitāre aur vahī maiñ thā

    par tum nahīñ thī

    tujh ko kho kar bacha hi kya tha zindagi mein khone ke liye

    bas ek udhaar si zindagi ji raha tha

    teri yaadon ka qarz liye

    muaf karna teri yaadon ko hum yun hi bula lete hain jis se ki ye sansen chal saken

    shayad tu bhul gai jo ek roz tu ne kaha tha ki jab zindagi viraniyon ke daur se guzarne lage

    to

    tu mujhe yaad kar lena

    muaf karna aaj phir tujhe itna hi yaad kiya

    itna hi tera nam liya

    jitna har pal har ghaDi har-waqt main tujhe yaad kiya karta tha

    tujhe yaad hai na

    jab aasman mein koi tara TuTta tha to jaldi se aankhen band karke dua mangti thi aur mujhe bhi aisa karne ko kahti thi

    par muaf zarur karna aaj main ne TuTte tare ko dekh kar koi dua nahin mangi

    kyunki aaj main tanha tha

    wahi khula aasman

    wahi chamakte sitare aur wahi main tha

    par tum nahin thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now